Click Here

Showing posts with label Poems. Show all posts
Showing posts with label Poems. Show all posts

Tuesday, August 27, 2013

میرے چارہ گر‎ ‎!

میرے چارہ گر‎ ‎!

میرے درد کی تجھے کیا خبر
تو میرے سفر کا شریک ہے
نہیں ہم سفر؟
میرے چارہ گر،میری چارہ گر
میرے ہاتھ سے تیرے ہاتھ تک
وہ جو ہاتھ بھر کا تھا فاصلہ
کئی موسموں میں بدل گیا
اسے ناپتے اسے کاٹتے
میرا سارا وقت نکل گیا
نہیں جس پہ کوئی نشانِ پا
میرے سامنے ہی وہ رہ گذر
میرے چارہ گر
میرے درد کی تجھے کیا خبر‎ ‎؟؟

Friday, August 16, 2013

Tumhein Jaana Ijaazat Hai ...



















Tumhein Jana Ijazat Hai
Ke In Tareek Raahon Per
Thakkan Si Khud Mein Pao To
Andheron Se Kabhi Dil Dol Jaye
Thakk Si Jao To
Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Kangaal Hathon Se Chhora Ke Apne Hathon Ko
Fiza Ki Nagmagi Se Tum Naey Geet Chun Lena
Haseen Pulkon Ki Nokon Per Naey Kuch Khuwab Bun Lena
Koi Agar Poochh Le Mera To Us Se Zikr Mat Karna
Mere Jeewan Ki Jalti Dopehar Se Begarz Ho Ker
Tum Apni Chandni Raaton Mein Jugnu Palti Rehna
Meri Tunhaiyon Ki Wehshat Ki Fikr Mat Karna
Tumhein Iski Ijazat Hai
Mere Sab Khut Jula Dena
Mere Tohfon Ko Darya Mein Baha Dena,
Duba Dena
Tumhein Bilkul Ijazat Hai
Ke Jab Chaho Bhula Dena
Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aisa Na Ho Jana
To Acha Hai ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Teri Jabeen Pe Likha Tha K Tu Bhula De Ga ...




Teri Jabeen Pe Likha Tha K Tu Bhula De Ga.

So Main Bhi Bhaanp Gaya Tha K Tu Bhula De Ga.

Har Ik Shakhs Se Larrta Raha Main Tere Liye.

Har Ik Ne Mujh Se Kaha Tha K Tu Bhula De Ga.

Ye Teri Aankhon Pe Halke Se Par Gaye Kaise ?

Mujhe To Tu Ne Kaha Tha K Tu Bhula De Ga.

Nikaal Laya Hai Ilzaam Phir Puraany Tu.

Ye Hum Ne Tay Bhi Kiya Tha K Tu Bhula De Ga.

Kuch Is Liye Bhi K Ik Till Tha Teri Aankhon Mein.

Mujhe Tu Tab Bhi Pata Tha K Tu Bhula De Ga ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Jaan-e- Jaana Tum Kehti TheeN ... Wasi Shah's Beautiful Poem ...



















Jaan - e - Jaana
Tum Kehti TheeN,
Jaanu Aap ! Mere Bachche Ho,
Mujh Ko Aisa Lagta Hai
Tum Orrh Ke Mere Lahoo Ko
Mere Badan Mein Soye Rehay Ho
Meri Rooh Ka Nasha Pee Kar
Mere Andar Khoye Rehay Ho
Mere Jism Ka Hi Hissa Ho

Jaan - e - Jaana
Tum To Kehti TheeN,
Jaanu Aap Mere Bachche Ho
Lekin Aise
Jis Ko Main Aanchal Ke Goshon Mein To
Chhupa Kar Rakh Sakti Hoon
Jis Ko Aankh Ki Putli Mein PinhaaN To Kar Sakti Hoon
Is Bachche Ko
Jaanu ! Aap Ko
Duniya Ki Nazron Mein Lana Mumkin Nahi
Bara Kat'thin Hai
Is Dharti Ki Zalim Rasmein
Sab Jhagre Aur Sabhi Masaa'il
Kab Tasleem Nahi Hain Mujh Ko
Lekin Jaana
Ye Batlao
Kya Koi Maa
Apne Bachche Ko Sardi Mein
Khuli Hawa Mein Veeraan Sarak Par
Raat Ki Bheegi Tanhai Mein
Sun-Sun Karti Hui Hawa Ke JhoNkoN Ke Maqtal Mein
Chor Ke Tanha
Manzil Wali Roshan Raah Par Chal Sakti Hai
Kya Koi Maa
Aisa Bhi Kar Sakti Hai
Lekin Tum Ne Yehi Kiya Hai
Jaan - e - Jaana ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Thursday, August 15, 2013

Tehwaar To Naam Hai Khushyon Ka ...
















Tehwaar To Naam Hai Khushyon Ka,
Lekin Meri Eid Per,
Mere Dardon Ka Raqs Hota Hai,
Mere Aankhon K Aansoo Muskurate Hain,
Meri Payalen Zanjeer Ban Kar Mujh Pe Sitam Karti Hain,
Meri Khushyan Sisakti Rehti Hain,
Mere Armaan Damm Tote Hain,
Meri Aahen Hansti Rehti Hai,
Main Hoti Hoon Aur Tanhai,
Saath Aansoo, Armaan, Aahen Aur Zanjeeren,
Inhi Khilonon Se,
Eid Ka Roz Behlati Hoon.

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Main Laal Dupatta Laya Hoon ...



















Main Laal Dupatta Laya Hoon,

Tere Ujlay Ujlay Chehray Ko..

Aaj Husn Duhaai Day Ga,

Aaj Chandni Raqs Kare Gi,

Aaj Baharein Saari Jhoomein Gi,

Tere Qadmon Ko Bhi Choomay Gi,

Aaj Dhanak K Rung Sub Bikhre Gay,

Roop Nazarein Nikhrein Gay,

Main Kahin Bhool Na Jaon Baaton Mein.

Zara Dekh Main Apne Haathon Mein...

Kya Rang Saja K Aaya Hoon,

Main Laal Dupatta Laya Hoon,

Mujhe Logon Ne Bhi Roka Tha,

Mujhe Rasmon Ne Bhi Toka Tha,

Kuch Rasmein Thin,
Kuch Bandhan Thay,

Kuch Logon Ka Khayaal Bhi Tha,

Tujh Se Milna Bi Aasaan Na Tha,

Bin Tere Jeena Mohaal Bi Tha,

Har Rasm Bandhan Torr Liya,

Sirf Tujh Se Rishta Jor Liya,

Jab Tu Bhi Rishta Joray Gi,

Yeh Laal Dupatta Orrhay Gi,

Tab Iss Duniya Mein Dharti Par...

Meri Mohabbaton Ka,
Meri Chahat Ka,

Aakhir Sach Wo Sapna Ho,

Rasmon Se, Rawajaon Se,

Kitne Zulm Samajon Se...

Dekh Akele Hi Takraya Hoon,

Main Laal Dupatta Laya Hoon,

Main Laal Dupatta ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Suno ... Bohat Hi Pyar Karte Hain ...















Suno ...
Kuch Din Se Aisa Hai
K Hum Khamosh Rehte Hain

Koi Gehra Hai Gham Shayad
Jisse Chup Chaap Sehte Hain

Yunhi Chalte Howe Tanha

Koi Ghamgeen Sa Naghma

Hum Aksar GunGunate Hain

Doran-e-Guftugu Yun Milen

Nazron Se Jab Nazrein

To Batein Bhool Jate Hain

Kisi Gum Sum Si Halat Mein

Ya Phir Barish K Mousam Mein

Faqat Itna Hi Kehte Hain

Udaasi Be-Waja Si Hai

Bohzt Bojhal Tabiyat Hai

Kabhi Hum Such Nahi Kehte ?

K Kis Ko Yaad Karte Hain..?

Hum Kis Se Pyar Karte Hain..?

Bohat Hi Pyar Karte Hain,

Bohat Hi Pyar Karte Hain ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Sunday, February 17, 2013

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Mila Na Mujh Sa Jo Ehl -e- Wafa To Kya Ho Ga,
Taras K Rah Gaya Shauq-e-Jafa To Kya Ho Ga,
Huzoor Ko Faqt Apne Shabaab Par Hai Ghuroor,
Agar Shabaab De Gaya Dagha To Kya Ho Ga,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Kya Yehi Rasm-e-Wafa Haim Kya Yehi Khuloos ?

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Tum Chhup Nahi Sakte, Kaheen Tum Ja Nahi Sakte,
Tum Mere Takhaiyul Mein Ho, Tum Meri Nazar Mein,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Daaman Churra K Aap Ne Jaana Hi Tha Agar,
Nazrein Utha K Pyar Se Dekha Tha Kis Liye ?
Thehro Zara K Main Tumhein Jee Bhar K Dekh Loon,
Aisa Na Hi Ke Gir Parre Deewaar Khwaab Ki,

Kya Khushaamad Ho Rahi Thi Dil K Lene Ke Liye,
Kaise Nazrein Phair Lee'n Matlab Nikal Jaane Ke Baad,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Zara Apni Utthti Jawani Ka Sadqa,
Idhar Bhi Nigaah_e_Karam Chaltay Chaltay,

Abroo Na Sanwaara Karo, Katt Jaye Gi Ungli,
Naadaan ! Kabhi Talwaar Se Khaila Nahi Karte,

Pyar Hota Hai To Ik Dil Mein Jalan Rehti Hai,
Khaar Chubh Jaane Se Jese K Chubhan Rehti Hai,
Faasla Ishq Ki Manzil Ka Hai Do Chaar Qadam,
Saal-ha Saal Magar Iski Thakan Rehti Hai,

Meri Jaan Idhar Bhi To Aik Nigaah-e-Naaz Ho,
Husn Kare Taraqqiyaan Umar Teri Daraaz Ho,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Chalay Aaye Thay Aaj Us Ki Gali Say,
Yehi Soch Kar Wahaan Na Jayein Gay Lekin,

Jo Peechay Say Us Be_wafa Nay Pukara,
Wahee'n Ruk Gaye Bas Qadam Chaltay Chaltay,

Likha Khat Usi Ko Mukhaatab Koi Tha,
Magar Baar-ha Aisa Aalam Bhi Guzra,
Khayaal Aa Gaya Us Gharri Jab Tumhara,
Waheen Ruk Gaya Bas Qalam Chaltay Chalay,

Na Taana_Zani Kar Meri May_Kashi Par
Zara Pooch Apni Nasheeli Nazar Say,
Khata_Gar Nahi Teri Nazaro'n Ki Zalim
To Kiyon Larkharraye Qadam Chaltay Chaltay,

Raqeebo'n Say Milna, Humein Bhool Jana,
Kahaan Ka Ye Insaaf Hai O Sitam_Gar,
Karo Yaad Wo Din K Hum Say Wafa Ki,
Uthaai Thi Tu Nay Qasam Chaltay Chaltay ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Tuesday, January 8, 2013

ISHQ-E-LAA-HASIL ...



ISHQ-E-LAA-HASIL ...

Side Table Pe Chaaye (Tea) Ka Cup
Haath Mein ISHQ Pe Likhi Gai Ik Daastaan Ki Kitaab
Aur Ye Dil Bhi Chaahay K Chhat Pe Jaa K
Raat Ki Tanhaai
Chaand Ki Udaasi
Aur Lamhon Ki Be-Bassi Ko
Apne Andar Utaar K
Khud Ko ISHQ-E-LAA-HASIL Mein Qaid Kar Liya Jaye
Aur Aisay Mein Kisi Ki Yaad Na Aaye
Naa-Mumkin ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Hamesha Dair Kar Deta Hoon

Hamesha Dair Kar Deta Hoon
Zaroori Baat Kehni Ho
Koi Wada Nibhana Ho
Ussay Aawaaz Deni Ho
Ussay Waapis Bulaana Ho
Hamesha Dair Kar Deta Hoon Main
Madad Karna Ho Us Ki
Yaar Ki Dhaaras Bandhana Ho
Bohat Deir Hi Na Raston Par
Kisi Say Milnay Jaana Ho
Hamesha Deir Kar Deta Hoon Main
Badaltay Mausamon Ki Sair Mein
Dil Ko Lagaana Ho
Kisi Ko Yaad Rakhna Ho
Kisi Ko Bhool Jaana Ho
Hamesha Deir Kar Deta Hoon Main
Kisi Ko Maut Say Pehlay
Kisi Gham Say Bachana Ho
Haqeeqat Aur Thi Kuch
Us Ko Jaa K Yeh Bataana Ho
Hamesha Deir Kar Deta Hoon Main !

Poet : Munir Niazi
Contribute : Zahid Shah

Ik Taraf Us Ka Ghar, Ik Taraf Mai_Kada,


Ay Gham_e_Zindagi Kuch To Day Mashwara,
Teri Nigaah Say Aisi Sharaab Pee Main Nay,
K Phir Na Hosh Ka Daawa Kiya Kabhi Hum Nay,
Wo Aur Hon Gay Jinhein Mout Aa Gayi Ho Gi,
Nigaah_e_Say Payi Hai Zindagi Main Nay,
Ay Gham_e_Zindagi Kuch To Day Mashwara,
Ik Taraf Us Ka Ghar, Ik Taraf Mai_Kada,

Main Kahaan Jaon, Hota Nahi Ye Faislaa,
Ik Taraf Us Ka Ghar, Ik Taraf Mai_Kada,

Ik Taraf Baam Par Koi Gulfaam Hai,
Ik Taraf Mehfil_e_Bada_Jaam Hai,
Dil Ka Dono'n Say Hai Kuch Na Kuch Waasta,
Ik Taraf Us Ka Ghar, Ik Taraf Mai_Kada,

Us K Darr Say Uthaa, To Kidhar Jaon Ga,
Mai_Kada Chhor Doon Ga, To Mar Jaon Ga,
Sakht Mushkil Mein Hoon, Kya Karoon Ay Khuda,
Ik Taraf Us Ka Ghar, Ik Taraf Mai_Kada,

Zindagi Aik Hai Aur Talab_gaar Do,
Jaan Akeli, Magar Jaan K Haq_daar Do,
Dil Bata, Pehle Kis Ka Karoon Haq Adaa ?
Ik Taraf Us Ka Ghar, Ik Taraf Mai_Kada,

Is Ta'alluq Ko Main Kaisay Touroo'n Zafar,
Kis Ko Apnaa'on Main, Kis Ko Chhoroo'n Zafar,
Mera Dono'n Say Rishta Hai Nazdeek Ka,
Ik Taraf Us Ka Ghar, Ik Taraf Mai_Kada,

Main Kahaan Jaon, Hota Nahi Ye Faislaa,
Ik Taraf Us Ka Ghar, Ik Taraf Mai_Kada ....

Contribute : Zahid Shah

Thursday, January 3, 2013

Ik Larki Deewaani Si .....



















Ik Larki Deewaani Si
Ik Larke Ko Bohat Chahti Thi,
Har Pal Uski YaadoN MeiN Jeeti,
Har Pal Muskurati Thi
Shayad Apne Saath Ho Rahe Dhokhe Ko
Wo Khud Se Hi Chupati Thi,
Aankhon MeiN Nami Aur
HontoN Pe MuskaneiN Sajati Thi,
Sachi Mohabbat Ki Us Ne
Phir Bhi Har Pal
Thukrayi Jaati Thi,
Ik Hansi Dekhne Ko
Us Larke Ke HontoN Par
Wo Khud Ko Dard Pohunchati Thi,
Bohat Samjhaya Sab Ne,
Par Wo Sab Ki Baat Taal Jati Thi,
Jab Bhi Koi Kehta Use,
K Wo Bewafa Hai,
To Andar Hi Andar Mar Jaati Thi,
SaanseiN Jaise Use De Chuki,
Dil Bhi Usi Bedard Ko De Aayi Thi,
Us Larke Ke BaateiN Aisi Jo
Har Pal Use Gham De Jaati Thi,
Phir Bhi Uski Khushi Ke Liye,
Sab Kuch Kar Jaati Thi,
Uski Bewafai Ko Khud Ki Mohabbat Ka Inaam Batati Thi,
Bhool Gaya, Chor Gaya, Wo Bewafa Use, Par Wo To
Uske Naam Ki Hi Jyot Dil MeiN Jalati Thi, Shayad
Nazuk Dil Tha Us Ke Pass
Isiliye Chahte Hue Bhi
Usse Nafrat Na Kar Paati Thi
Ik Larki Deewani Si, Ik Larke Ko Bohat Chahti Thi ...

www.zahid-shah.blogspot.com/

Aadaten Bhi Ajeeb Hoti Hain ...

Saans Laina Bhi Kaisi Aadat Hai,
Jiye Jana Bhi Kyaa Rawayat Hai,

Koi Aahat Nahi Badan Men Kaheen,
Koi Saaya Nahi Hai Aankhon Mein,

Paa'oon Be-His Hain, Chalte Jaate Hain,
Ik Safar Hai Jo Bahta Rahta Hai,

Kitne Barson Se, Kitni Sadiyon Se,
Jiye Jate Hain, Jiye Jate Hain,

Aadaten Bhi Ajeeb Hoti Hain ...

Khawaabon Ka Khoon ...

Subah Subah Ik Khwab Ki Dastak Par Darwaza Khola, Dekha
Sarhad Ke Us Paar Se Kuchh Mehmaan Aaye Hain
Aankhon Se Maanoos The Saarey
Chehre Saare Sune Sunaaye
Paa'oon Dhoye, Haath Dhulaaye
Aangan Mein Aasan Lagwaaye
Aur Tanoor Pe Makki Ke Kuchh Mote Mote Rot Pakaaye
Potli Mein Mehmaan Mere
Pichhle Saalon Ki Faslon Ka Gud Laaye They
Aankh Khuli To Dekha Ghar Mein Koi Nahi Tha
Haath Laga Kar Dekha To Tanoor Abhi Tak Bujha Nahi Tha
Aur Hothon Pe Meethe Gurr Ka Zaayqa Ab Tak Chipak Raha Tha
Khwab Tha Shayad!
Khwab Hi Ho Ga !
Sarhad Par Kal Raat, Suna Hai, Chali Thi Goli
Sarhad Par Kal Raat, Suna Hai
Kuchh Khwaabon Ka Khoon Hua Hai ....

Wednesday, January 2, 2013

Nazm Uljhi Hui Hai Seene Mein,

Nazm Uljhi Hui Hai Seene Mein,
Misre Atke Hue Hain Hothon Par,
Urte-Phirte Hain Titliyon Ki Tarah,
Lafz Kaaghaz Pe Baithte Hi Nahi,
Kab Se Baitha Hoon Main Jaanam,
Saade Kaaghaz Pe Likh Ke Naam Tera,
Bas Tera Naam Hi Mukammal Hai,
Iss Se Behtar Bhi Nazm Kyaa Ho Gi ...

www.zahid-shah.blogspot.com/

Saturday, December 22, 2012

" Mere Paas Laut Aana "


Jab Yaad Meri Aaye To Rukna Mat
"Mere Paas Laut Aana"
Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye
Or Kuch Saaf Nazar Na Aaye
To Darna Mat
"Mere Paas Laut Aana"
Jab Bin Baadal Barsaat Ho Jaye
Or Tumhien Raasta Na Mil Paaye
To Udaas Mat Hona
"Mere Paas Laut Aana"
Jab Saans Ki Dori Toote
Or Koi apna Tumhien Lootey
To Maayoos Mat Hona
Mere Paas Laut Aana
Jab Dil Tumhara Toote
Or Kisi Ka Sath Tum Se Chhoote
To Aanso Mat Bahana
"Mere Paas Laut Aana"
Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum
Mere Jazbat,Pyar,Aitbar
Ko Tor Ke Gayi Ho Tum
Phir Bhi Meri Yaad Agar Aye
Or Aankhien Tumhari Bher Ayein
To Shermindah Mat Hona
"Mere Paas Laut Aana"
Bas Itna Kehna Chahta Hoon
Ke Hamesha Intizar Karoonga
Is Kaeenat Se Ziada Pyar Karoonga
Magar Jab Tumhien Meri Yaad Aye
To Rukna Mat
"Mere Paas Laut Aana" ...

Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Sunday, November 4, 2012

Mujhe Ruswa Kr Dia Tum Ne Youn Hi Khailte Khailte....!

Ruswa Kar Diya...
Mai Aksar Sochti Hoon...
Tumhain Kaise Samjhaon Kaise Batlaon...
Ek Aurat Ka Mehndi Bhara Hath Mazak Nahi Hota...
Per ye Tumhari Zid Thi Mehndi Se Meri Hatheli Pe...
Apna Nam Likhna Or Usy Ghanton Dekhna...
Ye Tumhari Had Tak To Ek Shararat Thi...
Per Mujhe Ruswa Kr Dia Tum Ne Youn Hi Khailte Khailte....!

Hamein Awaaaz Matt Dena "

Hamein Awaaaz Matt Dena "
Bohat Hi Ranjj Hay...!!
Aur Inteha'ee Be-Sukooni Hay..
Keh Hum Apne Jazbon Aur Wadoon Ki....
Tamana'on Ki Aur Apne Sabhi Khuwabon Ki...
Aisi Khoobsurat Aur Jawaan Lash'en.....
(Jinhein Hum Ek Nazer Dekhein
To Ab Bhi Unpe Humko Saans Lenay Ka Ghumaan Hota Hay)
Wojood Apne Samait
Apne Hi Dil K Ek Ghooshe Mein....
Kissi Tareekh Shab Kay
Haad'saati Say Kisi Lamhe K Ander...!!
Iss Tarhan Say Dafann Kar Dhi Hein...
Keh Unko Khooj'na Toa Darkinaar...!!
Unka Nishaan Paana Bhi Abb Mumkin Nahe...!
So Jaanan........!!!
Tum Humein Ab Dhoondhne Ko Matt Nikalna....!!
Humein Awaaz matt Dena......!!
Keh Hum Ab Marr Chukey Hein ...!!

Mujhe Lauta Do ,....


Ta'alluq Torna Chaho
Tum Mujh ko Chorna Chaho
To Meri Shart Itni Hai
Tumhein Jo Day Chuka Hoon Main
Mujhe Lauta Do Wo Sab Kuch .....!
Mere Lamhay Wo Chahat K
Wo Sab Tahfay Mohabbat K
Wo Bheegi Diary Meri
Wo Sari Shayeri Meri
Mere Wo Qeemti Lamhay
Jo Tujh KO Sochtay Guzray
Wo Pal Jo Ek Qayamat Thi!
Jo Rasta Dekhtay Guzrey
KHUDA Ko Bhool Kar Wo Din
Jo Tujh Ko Sochtay Guzrey
To Phir Wo Zindagi Meri
Haan Bolo ...
Har Khushi Meri
KAHO Lauta Sako Gi Tum ...?

" Tum Ban Gai Hoon "

""Tum Ban Gai Hoon""
Unglian Meri, Jab Bhi Likhien, Jahan Bhi Likhien
Naam Tumhara Likhti Hain
Zubaan Meri, Jab Bhi Boly, Jahan Bhi Boly
Zikr Tumhara Krti Hain
Saans Meri, Jab Bhi Ati Hai Labon Tak
Rehti Hai Teri Khusbhoo
Zindagi Meri, Ab To Krti Hai
Sirf Aarzo Teri
Tujh Ko Muskraty Dekhun Jab Bhi
Mai Hans Parti Hoon
Tujh Ko, Afsurda Dekhun Jab
Mai Bhi Ro Parti Hoon
Dil Mai Hai Ghar Tumhara
Mujhey Lagta Hai Jesy
Mai Ab, Mai Nahi Rahi
Tum Ban Gai Hoon...