Click Here

Showing posts with label Munir Niazi. Show all posts
Showing posts with label Munir Niazi. Show all posts

Tuesday, October 1, 2013

رسولِ کریم دی یاد وچ شاعری - منیر نیازی

رسولِ کریم دی یاد وچ شاعری

کیسے ہون گے گلی محلے کیہڑی طراں دیاں راہواں
اندروں گھر کیسے ہوون گے کیسیاں باہرلیاں تھانواں
رونق اوہناں ہزاراں دی تے لوکاں دیاں صداواں
دور دراز دیاں سفراں اندر ٹھہرن لئی سراواں
رات دناں وچ قافلے چلدے رُتاں دیاں ہواواں
کویں میں ایڈا پینڈا کٹ کے اوس سمے وچ جانواں
کویں میں اوہ تصویراں کھچ کے دنیا کول لیاواں
کویں میں اج دے شہراں نوں اوہ حسن دی جھلک وخاواں
شہر مبارک اوہناں دناں دے سوہنیاں دُھپاں چھانواں
جنہاں چ پھریا شام سویرے احمد دا پرچھانواں
منیر نیازی

Wednesday, January 9, 2013

آنکھیں تھک جاتی ہیں

جو بھی گھر سے جاتا ہے
یہ کہہ کر ہی جاتا ہے
دیکھو، مجھ کو بھول نہ جانا
میں پھر لوٹ کے آؤں گا
دل کو اچھے لگنے والے
لاکھوں تحفے لاؤں گا
نئے نئے لوگوں کی باتیں
آکر تمہیں سناؤں گا

لیکن آنکھیں تھک جاتی ہیں
وہ واپس نہیں آتا ہے
لوگ بہت ہین اور وہ اکیلا
ان میں گم ہوجاتا ہے

منیر نیازی

Tuesday, January 8, 2013

KHIZAA'N ....

Hawa Ki Aawaaz
Khushk Patto'n Ki Sar-sarahat Se Bhar Gai
Rosh-Rosh Par Fatada Phoolo'n Ne
Lakhon Nauhe Jaga Diye Hain
Sileti Shua'yein
Buland Pairro'n Par Gul Machate
Siyah Kawwo'n Ki Qafilon se ati hui hain
har ek janib khizan k qasid lapak rahe hain
har ek janib khizan ki awaz gunjati hai
har ek basti kashkash-e-marg-o-zindagi se nidhal ho kar
Musafiron ko pukarti hai k- Aao
Mujh ko khizan k bemahar
Talkh Ehsas se bachao ...

Poet : Munir Niazi

Khalish-e-Hijr-e-Dayami Na Gai ...

khalish-e-hijr-e-dayami na gai
tere rukh se ye berukhi na gai

Poochte hain k kya hua dil ko
husn walon ki saadgi na gai

sar se sauda gaya muhabbat ka,
dil se par is ki bekali na gai,

aur sab ki hikayaten keh dee'n
baat apni kabhi kahi na gai,

hum bhi ghar se 'Munir' tab nikle
baat apnon ki jab sahi na gai ...

Poet : Munir Niazi
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Hamesha Dair Kar Deta Hoon

Hamesha Dair Kar Deta Hoon
Zaroori Baat Kehni Ho
Koi Wada Nibhana Ho
Ussay Aawaaz Deni Ho
Ussay Waapis Bulaana Ho
Hamesha Dair Kar Deta Hoon Main
Madad Karna Ho Us Ki
Yaar Ki Dhaaras Bandhana Ho
Bohat Deir Hi Na Raston Par
Kisi Say Milnay Jaana Ho
Hamesha Deir Kar Deta Hoon Main
Badaltay Mausamon Ki Sair Mein
Dil Ko Lagaana Ho
Kisi Ko Yaad Rakhna Ho
Kisi Ko Bhool Jaana Ho
Hamesha Deir Kar Deta Hoon Main
Kisi Ko Maut Say Pehlay
Kisi Gham Say Bachana Ho
Haqeeqat Aur Thi Kuch
Us Ko Jaa K Yeh Bataana Ho
Hamesha Deir Kar Deta Hoon Main !

Poet : Munir Niazi
Contribute : Zahid Shah

Dar K Kisi Se Chup Jata Hai Jaise Saanp Khazaane main,

Dar K Kisi Se Chup Jata Hai Jaise Saanp Khazaane main,

zar k zor se zinda hain sab khak k is veerane main,

jaise rasm adaa karte hon shehron ki abadi main,

subah ko ghar se dur nikal kar sham ko wapis aane main,

neele rang main doobi ankhen khuli pari theen sabze par,

aks para tha asman ka shayad is paimaane main,

dil kuch aur bhi sard hua hai sham-e-shehar ki ronaq main,

kitni ziya be-sood gai hai sheeshe k lafz jalane main,

main to 'Munir' aaeene main khud ko tak kar hairaan hua,

ye chehra kuch aur tarah tha pahle kisi zamane main ...

Poet : Munir Niazi

Chaman Mein Rang_E_ Bahaar Utra To Main Nay Dekha.

Chaman Mein Rang_E_ Bahaar Utra To Main Nay Dekha.

Nazar Say DilL Ka Gubaar Utra To Main Nay Dekha.

Main Neem Shab Aasmaa'n Ki Wus'att Ko Dekhta Tha.

Zameen Pay Wo Husn-Zaar Utraa To Main Nay Dekha.

Gali K Baahir Tamam Manzar Badal Gaye Thay.

Jo Saaya_E_Koo-E-Yaar Utra To Main Nay Dekha.

Khumaar-e-May Main Wo Chehra Kuch Aur Lag Raha Tha.

Dam-e-Saher Jab Khumaar Utra To Main Nay Dekha.

Ik Aur Dariya Ka Saamna Tha MUNEER Mujh Ko.

Main Aik Darya K Paar Utra To Main Nay Dekha ...

Poet : Muneer Niazi
Contribute : Zahid Shah

Zinda Rahein To Kya Hai Jo Mar Jaye Hum To Kya ?

Zinda Rahein To Kya Hai Jo Mar Jaye Hum To Kya ?

Duniya Mein Khamoshi Say Guzar Jaye Hum To Kya,

Hasti Hi Apni Kya Hai Zamaney K Saamney,

Ik Khuwaab Hai Jahan Mein Bikhar Jayein Hum To Kya,

Ab Koun Muntazir Hai Hamare Liye Wahan,

Shaam Aa Gayi Hai Lout K Ghar Gaye Hum To Kya,

Dil ki Khalish To Sath Rahe Gi Tamaam Umer,

Dariya_E_Gham K Paar Utar Jaye Hum To Kya...

Poet : Munir Niazi
Contribute : Zahid Shah

Bechain bahut phirna ghabaraye hue rahna,

Bechain bahut phirna ghabaraye hue rahna,
ik ag si jazbon ki bahakaye hue rahna,

chalkaye hue chalana khushbu-e-begani ki,
ik bag sa tha apna mahkaye hue rahna,

is husn ka shewa hai, jab ishq nazar aye,
parde main chale jana, sharmaye hue rahna,

ik sham si kar rakhna kajal k karishme se,
ik chand sa ankhon main chamkaye hue rahna,

adat hi bana li hai tum ne to "Munir" apni,
jis shahar main bhi rahna uktaye hue rahna ...

Poet : Munir Niazi

بے چین بہت پھرنا گھبرائے ہوئے رہنا

بے چین بہت پھرنا گھبرائے ہوئے رہنا
اِک آگ سی جذبوں کی دہکائے ہوئے رہنا

چھلکائے ہوئے چلنا خوشبو لبِ لعلیں کی
اک باغ سا ساتھ اپنے مہکائے ہوئے رہنا

اس حسن کا شیوہ ہے جب عشق نظر آئے
پردے میں چلے جانا، شرمائے ہوئے رہنا

اک شام سی کر رکھنا کاجل کے کرشمے سے
اک چاند سا آنکھوں میں چمکائے ہوئے رہنا

عادت ہی بنا لی ہے تم نے تو منیر اپنی
جس شہر میں بھی رہنا اکتائے ہوئے رہنا

منیر نیازی

Sunday, September 30, 2012

Wo Khobsorat Larkiyaan,, Dasht-E-Wafa Ki Hirniyaan,,


Wo Khobsorat Larkiyaan,,
Dasht-E-Wafa Ki Hirniyaan,,
Shehr-E-Shab Mehtaab Ki,,
Be'Chain Jadoo Garniyaan,,
Jo Badloon Mein Khoo Gayeen,,
Nazroon Say Oujhal Ho Gayeen,,
Ab Sard Kaali Raat Ko,,
Aankhoon Mein Gehra Gham Liye,,
Ashkoon Ki Behti Nehar Mein,,
Gullnaar Chehry Gham Kiye,,
Hasti Ki Sarhad Say Pary,,
Khovaaboon Sangeen Outt Say,,
Kehti Hai Mujh Ko Be'Vafa,,
Hum Say Bichar Kar Keya Tujhe,,
Sukh Ka Khazana Mill Gaya,,

Poet : Munir Niazi