Click Here

Showing posts with label Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Ghazals. Show all posts

Saturday, September 22, 2018

Us ne dil ka haal btana chor dia


Us ne dil ka haal btana chor dia 
Hum ne bhi ghrai main jana chor dia

Jub us ko hi doori ka ahsas nahi
Hum ne bhi ahsas dilana chor dia

Main ne kaha raste hain dushwar bohaut
Us ne tab se saath nebhana chor dia

Jub yeh kaha ke karna yad duaon main
Us ne dua main hath uthana chor dia

Tuesday, September 15, 2015

Karti Hai Intezar Mere Gaon Ki Mitti


Karti Hai Intezar Mere Gaon Ki Mitti
Rehti Hai Barqaraar Mere Gaon Ki Mitti

Wo Neem Ki Khushboo Wo Dhoop Wo Hawa
Deti Hai Aitbaar Mere Gaon Ki Mitti

Ghar K Darakht Saya-e-Aanchal K Razamand
Mujh Pe Hai Jaan Nisaar Mere Gaon Ki Mitti

Barish K Wo Talaab Aur Kaghaz Ki Kashtiyan
Ab Tak Hai Imandaar Mere Gaon Ki Mitti

Chokhat Pe Rakh K Pair Jise Roondh Main Aya
Aye Shams Wo Hai Pyar Mere Gaon Ki Mitti...

Mohabbat Tab Se Karta Hun . Ghazal Poetry


Tumhe Dekha Hai Jis Din Se
Mohabbat Tab Se Karta Hun

Mere Khawabon Ki Tehreerein
Mehaz Teri Hi Tasveerein

Nazar Ye Aashna Bhi Hai
Tumhe Shayad Pata Bhi Hai

Tumhe Socha Hai Jis Din Se
Adawat Tab Se Karta Hun
Mohabbat Tab Se Karta Hun

Meri Khamosh Dharkan Ki
Sada Bas Tum Hi Ho Jana

Main Jis Ko Apna Kehta Hun
Dua Wo Tum Hi Ho Jana

Nazar Me Jab Se Ayi Ho
Main Chahat Tab Se Karta Hun
Mohabbat Tab Se Karta Hun

Kabhi Samjho Isharon Ko
Tumhe Pane Ki Hasrat Hai

Bata Do Aye Meri Jana
Kya Tum Ko Bhi Mohabbat Hai

Hua Hun Jab Se Dewaana
Wafaawat Tab Se Karta Hun
Mohabbat Tab Se Karta Hun

Tumhe Dekha Hai Jis Din Se
Mohabbat Tab Se Karta Hun...

Thursday, April 30, 2015

YA RAB Sunaein Hum Kise Ab Madda-E-Dil,

YA RAB Sunaein Hum Kisay Ab Madda-E-Dil,

Koi Nahi Jahan Mein Hajat Rawa-E-Dil,

Kya Kahiay Behar-E-Shuq Ab Majra-E-Dil,

Dil Hai Safeena Aur Wo Hein Na'Khuda-E-Dil,

Aaina Hayat Ki Takmeel Ky Liay,

Lazim Hai Kaainat Mein Sidq-o-Safa-E-Dil,

Dil Aur Dard Dono Mein Ek Rabt Khas Hai,

Dil Aashna-E-Dard Hai,Dard Aashna-E-Dil,

Har Tais Jis Ki Teri Taraf Multafit Karay,

YA RAB.! Wo Dard Chahiye Mujh Ko Baray Dil,

Duniya-E-Dil Ka Haal Na Pucho Faraq Mein,

Masrof-E-Intizar Hein Subh-o-Masa-E-Dil,

Sadaa Uthain Dil Ki Badolat So'abtain,

Dekho Naseer Aur Abhi Kya Kya Dekha-E-Dil..

Tuesday, April 21, 2015

Mah-Jabeenon Ki Adaon Se Ulajh Betha Hun

Mah-Jabeenon Ki Adaon Se Ulajh Betha Hun.
Iska Matlab Hai Balaoon Se Ulajh Betha Hun..

Baab-E-Taseer Se Nakam Palat Aai Hain...
Is Liye Apni Duaon Se Ulajh Betha Hun...

Teri Dehleez Pe Jhuknay Ka Sawal Aaya Tha...
Main Zamanay Ki Anaoon Se Ulajh Betha Hun...

Jo Musafir K Liye Ba'is-E-Taskeen Nahi..
Aisay Ashjaar Ki Chhaoon Se Ulajh Betha Hun...

Jo Ghareebon Ka Diya Phoonk K Tham Jati Hain...
Aisi Kam'Zarf Hawaoon Se Ulajh Betha Hun..

Arsh Walay Meri Toqeer Salamat Rakhna..
Farsh K Saare Khudaoon Se Ulajh Betha Hun ...

Us Aik Shaks Ki Be-Rabt Jafa Ki Khatir...
Shehar Waloon Ki Wafaoon Se Ulajh Betha Hun .

Wo Jo Mere Pas Se Ho Kar Kisi Ki Ghar Gaya,

Wo Jo Mere Pas Se Ho Kar Kisi Ki Ghar Gaya,
Raishmi Malboos Ki Khushboo Se Jadoo Kar Gaya,

Ik Jhalak Daikhi Thi Us Roo-E-Dil Aara Ki Kabhi,
Phir Na Aankhon Se Aisa Dilruba Manzar Gaya,

Shehar Ki Galiyon Mein Gehri Teergi Giryan Rahi,
Raat Badal Is Tarah Aaye Keh Main To Dar Gaya,

Thi Watan Mein Muntzir Jis Ki Koi Chasham-E-Haseen,
Wo Musafir Jane Kis Sehra Mein Jal Kar Mar Gaya,

Subha Kazab Ki Hawa Mein Dard Tha itna MUNEER,?
Rail Ki Seeti Baji To Dil Lahoo Se Bhar Gaya..

Wednesday, November 6, 2013

Daman-E-Gul Mein Hi Gulzaar Bikhar Jaatay Hain

 
Daman-E-Gul Mein Hi Gulzaar Bikhar Jaatay Hain

Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaatay Hain

Shama'h Jalti Hai Sada Aik Hi Lamhay Mein Lekin

Jal Ke Parwane Kayi Baar Bikhar Jaatay Hain

Jin Ko Insaa'n Pirota Hai Bohat Ulfat Se

Haaye Wo Gul Sar-E-Bazaar Bikhar Jaatay Hain

Paaoun Uthaty Hain Tere Koochay Ki Janib Jab Bhi

Apni Raho'n Mein Kayi Khaar Bikhar Jaatay Hain

Raat Ke Pichlay Pehar Khoon-E-Tamanna Ki Tarhan

Hum Teri Yaad Mein Aey Yaar Bikhar Jaatay Hain

Ho Ga AndaAz-E- Wafa Un Ka Alag Hi ''ALFAAZ"

Jin Ki Rahon Mein Talab-Gaar Bikhar Jaatay Hain ...

Monday, November 4, 2013

Ban k Gajra Tere Baalon Me Bikhar Jaon Main.

Ban k Gajra Tere Baalon Me Bikhar Jaon Main.

Misal-e-Kajal Teri Ankhaon Me Sanwar jaon Main.

Sans Ban k Kabhi Nathnon Se Kabhi Honton Se.

Hoale Hoale Tere Seeney Me Utar Jaon Main.

Arzo Dil Ki Meri Jaan-e-Wafa Bass Hai Yehi.

Tere Honton Pe Hansi Ban k Nikhar Jaon Main.

Mar K Bhi Saath Rahe Tera Bas Ek Is k Liye.

Khoon Ban k Teri Rag Rag Me Utar Jaon Main ...

Bicharh K B Main Tere Parda -e- Wisaal Mein Hoon

Bicharh K B Main Tere Parda_e_Wisaal Mei'n Hun ,,
.
Jahan B Jaun ... Tere Haaliya Jamaal Mei'n Hun ,,
.
Yaqeen Na Aaye To Aaina_e_Anaa Mei'n Dekh ,,
.
Tere Kheyaal Men Hun Tere Khad_o_Khaal Mei'n Hun ,,
.
Tere Badan K Sabhi Gul Khilaye Hain Mai'n Ne ,,
.
Lahoo Ki Trah Rawaan Teri Daal Daal Mei'n Hun ,,
.
Teri Talaash Mei'n Aalam Ajab Nishaat Ka Tha ,,
.
Jo Tu Mila To .. Tere Hijr K Malaal Mei'n Hun ,,
.
Sada Ki Trah Teri Aarzu Kamaal Pe Hai ..
.
Ye Aur Baat K Main Umar K Zawaal Mei'n Hun ,,
.
Khuli Fiza K Liye Khaak Ka Qafas Tora ,,
.
Magar SAJAN Abhi Aasmaan K Jaal Me'n Hun ..

Baat Meri Kabhi Suni Hi Nahi ....


Baat Meri Kabhi Suni He Nahi

Jaantay Wo Buri Bhali He Nahi

Dil Lagi Un Ki Dil Lagi He Nahi

Ranj Bhi Hai Faqat Hansi He Nahi

Lutf Mai Tujh Se Kya Kaho'n Zaahid

Haye Kambakht Tu Ne Pee He Nahi

Urr Gai Y0on Wafa Zamaane Se

Kabhi Goya Kisi Mein Thi He Nahi

Jaan Kya D0on K Jaanta Hun Main

Tum Ne Ye Cheez Le Ke Di He Nahi

Hum To Dushman Ko Dost Kr Letay

Par Karen Kya Tairi Khushi He Nahin

Hum Tairi Aarzu Pe Jeetay Hain

Ye Nahin Hai To Zindagi He Nahi

Dil Lagi, Dil Lagi Nahin Naaseh

Tere Dil Ko Abhi Lagi He Nahi

'Daagh Kiyon Tum Ko Bewafa Kehta

Wo Shikaayat Ka Aadmi He Nahi !!

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute : Zahid Shah

Teri Aankhein na rahain aaina khana mere dost

Teri ankhen na rahain aaina khana mere dost

kitni taizi s bdlta hai zamana mere dost

jane ks kaam mein masroof raha brson tk

yad aya nai tujh ko bhoolana mere dost

puchna mat k ye kiya haal bna rakha hai

aaina ban k mera dil na dukhana mere dost

us mulaqaat mein jo gair zaruri ho jaye

yad rehta hai kisy hath milana mere dost

dekhna mujh ko mgr meri pazirai ko

apni aankhon mein sitare na sajana mere dost

ab wo titli hai na wo umar taaqub wali

mein na kehta tha bohat door na jana mere dost

hijar taqdeer mein likha tha k majburi thi

chor is baat se kiya milna mere dost

tu ne ehsan kiya apna bna kr muj ko

wrna mein kiya tha? Haqeeqat na fasana mere dost

is kahani mein kese, kon , kahan chor giya

yad ajaye to mjhko b btana mere dost

chor aya hun hawaon nigehbani me

wo samandr wo jazeera wo khazana mere dost

aise raston pe jo aaps me kahin milte hun

Kiyub na us mor se ho jayen rawana mere dost.

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga'Muqaam Mumkin Nahi Rehay Ga

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga'Muqaam Mumkin Nahi Rehay Ga

Ye Barf Mausam Jo Sheher_E_Jaan Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya To

Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Tum Apni Saanson Se Meri saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin

Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kam Mumkin Nahi Rahay Ga

Wafa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Bad Gumani Ki Barishon Mein

Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Mein Janta Hun Mujhe Yaqeen Hai Agr Kabhi Tu Mujhe Bhula De

Tou Tere Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Ham Mohabbat Mein La Taalluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Lena

Duaaein To Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga .

Piyar Karte Hain chhup kar SHEIKH JI Rozaana Rozaana.

Piyar Karte Hain chhup kar SHEIKH JI Rozaana Rozaana.

Chale aate hn aadhi Rat ko Mehkhaana Rozana.

Sharabion ko najaane log kyun badnaam karte hn.?

Keh me to mar gaya hota agar Peeta Na Rozaana Rozana.

Mohabbat jaan b deti he, tarsati b he yaro.

Kabi pemaana barson me, kabhi Pemaana Rozaana..

Preshaan hon kanwal jaisi aankhein Choom lene do.

Keh in pholoon peh mandlaaey ga Bhanwra Rozaana Rozana.

Kabi chilman utha k dekh lo,bat Mat karna.

K dil thaame hue aata he Deewana Rozana.

Kisi din Bazam-E-Saqi se nikale jao ge QAISER.

Nibhao ge kahan tak thath ye Shahaana Rozana.

Wednesday, October 2, 2013

Khizaan Raseeda Chaman Mein Bahar Mushkil Hai ...

Khizaan Raseeda Chaman Mein Bahar Mushkil Hai

Tumharay Baad Kahin Aitabar Mushkil Hai

Kisi Se Is Liye Dushwaar Hai Khafa Hona

Mananay Aaye Ga Hum Ko Bhi Yaar Mushkil Hai

Ajeeb Raaz-e-Junoon Tha Jo Mere Dil Pe Khula

Teri Gali Mein Bhi Aa Kar Qarar Mushkil Hai

Humara Kaun Hai Ehl-e-Jafa Ki Basti Mein

Milay Ga Koi Humein Gham-Gusaar Mushkil Hai

Kahan Chalay Ho Muhabbat Khareednay "MOHSIN"

Baghair Sood Ke Milna Udhaar Mushkil Hai ...

Poet : Mohsin Naqvi
Contribute : Zahid Shah 

Udas Sham Kisi Khawab Mein Dhali To Hai ...

Udas Sham Kisi Khawab Mein Dhali To Hai,

Yehi Bohat Hai K Taza Hawa Chali To Hai,

Jo Apni Shaq Se Bahar Abhi Nahi Aai,

Nai Bahar Ki Zameen Wohi Kali To Hai,

Dhowan To Jhoot Nahi Bolta Kabhi Yaro,

Humare Shaher Mein Basti Koi Jali To Hai,

Kisi K Ishq Mein Hum Jan Se Gaye Lekin,

Humare Naam Se Rasm-e-Wafa Chali To Hai,

Hazar Band Hon Dair-O-Haram K Darwaze,

Mere Liye Mere Mehboob Ki Gali To Hai ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Friday, August 16, 2013

Kabhi Jo Hum Nahi Hon Ge ...


Kabhi Jo Hum Nahi Hon Ge,
Kaho Kis Ko Bataao Ge ?
Wo Apni Uljahnain Sari,
Wo Becheni Mein Doobe Pal,
Wo Aankhon Mein Chupe Aansu,
Kise Phir Tum Dikhao Ye,
Kabhi Jo Hum Nahi Hoon Ge,
Bohat Bechain Ho Ge Tum,
Bohat Tunha Reh Jao Ge,
Abhi Bhi Tum Nahi Sumjhe,
Hamari An-Kahi Baatein,
Mager Jab Yaad Aayen Ge,
Bohat Tum Ko Rulayen Ge,
Bohat Chaho Ge Phir Bhi Tum,
Humein Na Dhoond Pao Ge,
Kabhi Jo Hum Nahi Hoon Ge ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Teri Jabeen Pe Likha Tha K Tu Bhula De Ga ...




Teri Jabeen Pe Likha Tha K Tu Bhula De Ga.

So Main Bhi Bhaanp Gaya Tha K Tu Bhula De Ga.

Har Ik Shakhs Se Larrta Raha Main Tere Liye.

Har Ik Ne Mujh Se Kaha Tha K Tu Bhula De Ga.

Ye Teri Aankhon Pe Halke Se Par Gaye Kaise ?

Mujhe To Tu Ne Kaha Tha K Tu Bhula De Ga.

Nikaal Laya Hai Ilzaam Phir Puraany Tu.

Ye Hum Ne Tay Bhi Kiya Tha K Tu Bhula De Ga.

Kuch Is Liye Bhi K Ik Till Tha Teri Aankhon Mein.

Mujhe Tu Tab Bhi Pata Tha K Tu Bhula De Ga ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Yaad Aaon Ga ...


Tum Meri Aankh K Tewer Na Bhoola Pao Gay,
Unkahi Baat Ko Samjho Gay to Yaad Aaon Ga,

Hum Nay Khushiyon Ki Tarah Dukh Bhi Akathay Dekhe,
Safha-e-Zeest Ko Palto Gay To Yaad Aaon Ga,

Is Judai Main Tum Ander Say Bikhar Jao Gay,
Kisi Mazoor Ko Dekho Gay To Yaad Aaon Ga,

Isi Andaz Main Hotay Thay Mukhatib Mujh Say,
Khat Kisi Or Ko Likho Gay To Yaad Aaon Ga,

Meri Khusboo Tumhein Kholey Gi Gulabon Ki Tarah,
Tum Agar Khud Say Na Bolo Ge to Yaad Aaon Ga,

Sard Raaton K Mahektey Huey Sannaaton Mein,
Jab Kisi Phool Ko Choomo Gay To Yaad Aaon Ga,


Aaj To Mehfil-e-Yaran Pay Ho Maghroor Bohat,
Jab Kabhi Toot K Bikhro Gay To Yaad Aaon Ga,

Ab To Ye Ashq Main Honton Say Chura Leta Hoon,
Hath Say Khud Inhein Poncho Gay To Yaad Aaon Ga,

Shaal Pehnaaye Ka Ab Kon December Main Tumhein,
Barishon Main Kabhi Bheego Gay To Yaad Aaon Ga,

Haadsey Aayein Gay Jeewan Main To Tum Ho Gay Nidhaal,
Kisi Deewaar Ko Thamo Gay To Yaad Aaon Ga,

Is Main Shamil Hai Mere Bakht Ki Tareeki Bhi,
Tum Siyah Rang Jo Pehno Gay To Yaad Aaon Ga ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/


Hazaaron Dukh Parein Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti ...

Hazaaron Dukh Parein Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti,

Hai Tum Se Bas Yehi Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Tera Har Baar Mere Khat Ko Parhna Or Ro Dena,

Mera Har Baar Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Kia Tha Hum Ne Kempas Ki Nadi Pe Ikk Haseen Wada,

Bhalay Hum Ko Parey Marna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Jahan Main Jab Talak Panchi Chehaktey Urtey Phirtey Hain,

Hai Jab Tak Phool Ka Khilna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Puraney Ahad Ko Jab Zinda Karne Ka Khyaal Aaye,

Mujhy Bas Itna Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti.



Woh Tera Hajar Ki Shab Phone Rakhne Se Zara Pehley,

Buhat Rotey Hooye Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Agar Hum Hasrton Ki Qabar Main Hi Dafan Ho Jayen,

To Ye Katboon Pe Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Puraaney Raabton Ko Phir Se Naye Wade Ki Khwahish Hai,

Zara Ikk Baar Tu Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Gaye Lamhaat Fursat Ke Kahan Se Doond Ker Laoon

Wo Pehroon Haath Per Likhna Mohabbat Mar Nahi Sakti ...

Poet : Wasi Shah
Contributed : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Mujh Ko Maaloom Hai Tum Badal Jao Gey Ja Ke Pardes Mein ...

Mujh Ko Maaloom Hai Tum Badal Jao Gey Ja Ke Pardes Mein,

Chahaton ki haddon se nikal jao gey ja k pardes mein,

Raakh ho jaye gi qurbaton mein mehakti hui zindagi,

Hijar ki aag mein tum pigal jao gay ja k pardes mein,

Sab ko bhoolo gay par apne bachon ki jab tum ko yaad aaye gi,

Khud bhi bachun ki soorat machal jao gay ja k pardes main.

Apni pehchan ko khawahishoon k sumandar main gar kho diya,

Dastaanon mein phir tum bhi dhal jao gay ja k pardes main.

Ain mumkin hai jab tum wahan jao tu aur barh jayein dukh,

Kis ne tum se kaha hai behal jao gay ja k pardes main.

Ye bata don tumhen sardiyan Aag barsayen gi us jaga,

Soch lo ab bhi tum, warna jal jao gay ja k pardes main.

Tum pe yoon hath daalein gi tanhayian aik waqt aaye ga,

koi aahat b ho gi dehal jao gay ja k pardes mein ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/