Click Here

Showing posts with label Ibrahim Zauq. Show all posts
Showing posts with label Ibrahim Zauq. Show all posts

Thursday, January 3, 2013

Hai Tere Kaan Zulf-E-Muimbar Lagi Hui,

Hai Tere Kaan Zulf-E-Muimbar Lagi Hui,
Rakkhe Gi Ye Na Baal Baraabar Lagi Hui,

Baithe Bhare Hue Hain Khum-E-Mai Ki Tarah Hum,
Par Kya Karein Ke Muhar Hai Munh Par Lagi Hui,

Mayyat Ko Gusal Dijo Na Khaaksaar Ki,
Hai Tan Pe Khaak-E-Kuchaa-E-Dilbar Lagi Hui,

Nikale Hai Kab Kisi Se Bhi Us Ki Mizha Ki Nok,
Hai Phans Si Kaleje Ke Andar Lagi Hui,

Ay Zauq Dekh Dukhtar-E-Raz Ko Na Moonh Lagaa
Chhut'ti Nahi Hai Moonh Se Ye Kaafir Lagi Hui ...

Poet : Ibrahim Zauq
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Main Wo Majnoon Hoon Jo Nikloon Kunj-E-Zindaan Chhor Kar,

Main Wo Majnoon Hoon Jo Nikloon Kunj-E-Zindaan Chhor Kar,

Seb-E-Jannat Tak Na Khaaoon Sang-E-Tiflaan Chhor Kar,

Main Hoon Vo Gumnaam Jab Daftar Men Naam Aayaa Mera,

Rah Gayaa Bas Munshi-E-Kudarat Jagah Vaan Chhor Kar,

Ahl-E-Jauhar Ko Watan Men Rahne Deta Gar Falak,

Laal Kiyun Is Rang Se Aataa Badakhshaan Chhor Kar,

Ghar Se Bhi Waaqif Nahi Us Ke Ki Jis Ke Waaste,

Baithe Hain Ghar-Baar Sab Ham Khaanaa-Veeraan Chhor Kar,

In Dinon Garche Dakan Men Hai Bari Qadar-E-Sukhan,

Kaun Jaaye "Zauq" Par Dilli Ki Galiyaan Chhor Kar ----

Poet : Ibrahim Zauq
Contribute: Zahid Shah