Click Here

Sunday, July 29, 2012

Abhi to ishq me aisa haal bhi hona hai

Abhi to ishq me aisa haal bhi hona haiK ishq rokana tum se mahal hona hai
Har aik lab pe hain meri wafa k afsane
Tere sitam ko abhi la zawal hona hai
Baja k khar hain lakin bahar ki rot me
Ye teh hai abb k humen bhi nahal hona hai
Tumhen khabar hi nahin tum to loot jao ge
Tumhare hijar me lamha bhi saal hona hai

Hamari rooh pe jab bhi azab otaren geTumhari yaad ko us dil ki dhal hona hai
Kabhi to roe ga wo bhi kisi ki banhon me
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hai
Milen gi hum ko bhi apne naseeb ki khoshiyan
Bus intazar hai kab ye kamal hona hai
Har aik shakhas chale ga hamari rahon par
Mohabbaton me humen wo masal hona hai
Zamana jis k gham-o-pech me olajh jae
Hamari zaat ko aisa sawal hona hai
WASI yakeen hai mujh ko wo loot ae ga
Use bhi apne kie ka malal hona hai ...........




No comments:

Post a Comment