Baandh liye pehley mere haath mukammal
Phir chheen liya mujh say mera saath mukammal
Uss per kissi panchi ka thikana nahi hota
Jis pairr k jharr jaatey hain phal paat mukammal
Jab jeet gaya uss se to phir jaa k khula ye
Main jeet jissey samjha wo thi maat mukammal
Do gaam ki sangat hamein manzoor nahi hai
Dena hai agar tum ko to do saath mukammal ...
~*~ Hijr Jaan_Lewa ~*~

No comments:
Post a Comment