Click Here

Friday, August 10, 2012

Ishq Minnat kash E qaraar nahi




Ishq Minnat kash E qaraar nahi

Husn majboor E intezaar nahi

Teri ranjish ki intehaa maloom

HasratoN ka miri shumaar nahi

Apni nazreN bikher de saaqee

Mai ba-andaazaa E khumaar nahi

Zer E lab hai abhi tabassum E dost

Muntashir jalwa E bahaar nahi

Apni takmeel kar raha hun maiN

Warna tujh se to mujh ko pyar nahi

Charaa E intezaar kaun kare

Teri nafrat bhi ustawaar nahi

'Faiz' zinda raheN wo haiN to sahi

Kya huaa gar wafa shu'aar nahi ...

No comments:

Post a Comment