Kaarwaan walay ghazab, Misr ka bazaar ghazab,
Yousaf e waqt ghazab, Un k kharidaar ghazab,
Mah sa chehra ghazab, Jheel si aankhain ghazab,
Youn to hai zulf ghazab, Zulf say rukhsaar ghazab
Lab o dandaan ghazab, Abro e khamdaar ghazab,
Chal gayi mujh pay tere husnay ki talwaar ghazab
Ho gaya sath mere daher mein har baar ghazab,
Har adaa par teri aaya hai mujhe piyar ghazab
Ek samandar main liye phirta hoon maara maara,
Meri Aankhon mein qayamat k hai aasaar ghazab
Mehw e raqsaan hai nazar, surat e halaat ajab
Dil ka hai naara ajab, Yaar ghazab, Yaar ghazab ...

No comments:
Post a Comment