Click Here

Sunday, September 30, 2012

husn ko chand jawani ko kanwal kehtey hain


husn ko chand jawani ko kanwal kehtey hain
unki soorat nazar aaye to ghazal kehtey hain

sang e marmar say tarasha hua shafaaf badan
dekhnay walay usay taj mahal kehtey hain

unki soorat nazar aaye to ghazal kehtey hain
husn ko chand jawani ko kanwal kehtey hain

wo tere husn ki qeemat say nahi hain waqif
pankhri ko jo tere lab ka badal kehtey hain

un ki soorat nazar aaye to ghazal kehtey hain
husn ko chand jawani ko kanwal kehtey hain

par gaee paaon mein taqdeer ki zanjeer to kya
hum to is ko bhi teri zulf ka bal kehtey hain

unki soorat nazar aaye to ghazal kehtey hain
husn ko chand jawani ko kanwal kehtey hain ...

No comments:

Post a Comment