Click Here

Sunday, September 30, 2012

Kabhi jo na Kehny ki Himmat karun Main..


Kabhi jo na Kehny ki Himmat karun Main..
Zuban e Qalam sy wo Jurr'at karun Main..
Dam e Yaar sy Mera Dam hy Salamat..
Had e Intaha tak Mohabat karun Main..
Baad Az Wazifa Parhun Us ka Chehra..
Ibadat k Baad ik Ibadat karun Main..
Raza e Dil e Dost! Eema'n bana kr..
Duniya sy sari! Baghawat karun Main..
Tery Khal o Khadd ka karun kya Bya'n Main..
Tery Husn ki kya Wazahat karun Main..
Hawass bhi Aqeedat sy Ta'zeem Seekhy..
Jab Us ki Rida par Imamat karun Main..
Nazar kab sy Dhaaras Bandhaay huy hy..
Agar Parda Sarky to Himmat karun Main..
Hamesha hi AbbasS Pohnchu'n Usi tak.
Khyalo'n me jab bhi Musafat karun Main.

No comments:

Post a Comment