Click Here

Sunday, September 30, 2012

Kaheen Charaagh Hain Roshan, Kaheen Pe Maddham Hain


Kaheen Charaagh Hain Roshan, Kaheen Pe Maddham Hain
Tumhaaray Aanay Ke Imkaan Hain, Magar Kam Hain
Mein Lout-tay Howay Chupkay Se Chhor Aaya Tha
Tumhaaray Takye Pe Mere Hazaar Mausam Hain
Tumhaaray Paon Ko Chhuu Kar Zamaana Jeet Liya
Tumhaaray Paon Nahi Hain, Ye Ek Aalam Hain
Mohabbatain Huween Taqseem Tou Ye Bhaid Khulaa
Hamaray Hissay Mein Khushiyan Nahi Hain, Maatham Hain
Kuch Isi Lye Bhee Hamain Dukh Se Dar Nahi Lagta
Hamaari Dhaal Tere Dard Hain, Tere Gham Hain
Abhi Kaho, To Abhi, Ye Bhi Tum Ko De Dein Ge
Hamaaray Paas Jo Ginti Ke Ek Do Dam Hain
Abhi Khulain Ge Bhalaa Kaisay Kaainaat Ke Raaz ?
Teri Kamar Mein Kayi Morr Hain, Kayi Kham Hain ...

Poet : Wasi Shah
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment