Click Here

Sunday, September 30, 2012

Mohabbat Ki Koi Manzil Nahi Hai


Mohabbat Ki Koi Manzil Nahi Hai
Mohbbat Mouj Hai, Saahil Nahi Hai
Meri Afsurdagi Pay Hasnay Walay
Tere Pehlu Mein Shayad Dil Nahi Hai
Na Ruktay Hain Aansoo, Na Thamtay Hain Naalay ...
Koi Un Say Ja K Zara Itna Keh Day,
Na Ruktay Hain Aansoo, Na Thamtay Hain Naalay ...
Qasid Payam-E-Khat Ko Daina Bohat Na Tool,
Bas Mukhtasir Yeh Kehna K Ab,
Na Ruktay Hain Aansoo, Na Thamtay Hain Naalay ...
Kaho Koi Kaisay Mohabbat Chupa Lay,
Karay Kya Koi Wo Jo Aayein Yaka-yak,
Nigaahon Ko Rokay Ya Dil Ko Sambhalay,
Chaman Walay Bijli Say Bolayein Na Chalein,
Chaman Walay Bijli Say Bolein Na Chaalein,
Ghareebon K Ghar Be-Khata Phoonk Daalein,
Qayamat Hai Zaalim Ki Neechi Nigahein
Hilna Kam Kam Kali Ne Seekha Hai,
Meer Un Neembaaz Aankhon Say,
Khuda Janay Kya Ho Jo Nazrein Utha Lein,
Karoon Aisa Sajda Woh Ghabra K Keh Day,
Khuda K Liye Ab To Sar Ko Utha Lay,
Tumhein Banda Parwar Ham He Jantay Hein,
Kabhi Hum Say Kabhi Ghairoon Say Shanasaai Hai,
Baat Kehnay Ki Nahi Tu Bhi To Harjaai Hai
Bas,
Har Aik Baat Pay Kehtay Ho K Tu Kia Hai,
Tumhi Batao Ye Andaz-E-Guftugu Kya Hai,
Baray Seedhay Saaadhay, Baray Bholay Bhalaay
Bus Itni Si Doori, Yeh Mein Hoon Ya Manzil,
Kahan Aake Phootay Hein Paaon K Chaalay,
Qamar Mein Hoon Mukhtaar Tanzeem-E-Shab Ka,
Qamar Main Hoon Mukhtaar Tanzeem-E-Shab Ka
Hai Mere Hi Bas Mein Andharay Ujalay
Na Ruktay Hain Aansoo, Na Thamtay Hain Naalay ...

5 comments:

  1. yea ghalib ke poetry nahi hay kayaa

    ReplyDelete
  2. yea ghalib ke poetry nahi hay kayaa

    ReplyDelete
  3. har ek baat pe kehte ho ki tu kya hai.. this poetry is written by ghalib. and the whole poetry given here is sung by Nusrat Fateh Ali Khan sahab

    ReplyDelete