Click Here

Sunday, September 30, 2012

Wo Dil Ka Bura Na Bewafa Tha


Wo Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Youn Hi Bichar Gaya Tha
Har Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha
Main Us Ki Ana Ka Aasra Tha
Wo Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha
Main Dhoop K Bina Bhe Jal Raha Tha
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha
Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha
Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay To Labon Ko See Liya Tha
Wo Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raaton Ko Tamam Jaghta Tha
Honton Main Gulaab Ki Naram Khushbu
Baaton Mein To Shehad Gholta Tha
Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Lekin
Wo Meri Raggon Main Goonjta Tha
Us Nay Jo Kaha, Kya Wo Dil Nay
Inqaar Ka Kis Main Hosla Tha
Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha
Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Wo Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha
Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Wo Bhi Mere Dil Say Kuch Khafa Tha
Main Bhi Tha Dara Hua Sa Lekin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha
Ek Khof Sa Hijar Ki Ruton Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha
Ek Raah Say Main Bhi Tha Gurayzaan
Ek Moor Pay Wo Bhi Ruk Gaya Tha
Ek Pal Main Jhapak Gayeen Jo Aankhain
Manzar Wo Manzar Doosra Tha
Socha To Tehar Gaye Zamanay
Dekha Toh Wo Door Ja Chuka Tha
Qadmon Say Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha
Chaltay Huey Log Bhi Ruk Gaye Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha
Sehmay Huey Pair Kanptay Thay
Pattoon Main Hiraas Rengta Tha
Rakhta Tha Main Jis Main Khuwab Apne
Wo Kanch Ka Ghar Chatakh Gaya Tha
Hum Dono Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ehsas Magar Juda Juda Tha ...

No comments:

Post a Comment