Click Here

Friday, October 19, 2012

Bheerr Mein Ik Ajnabi Ka Samaana Acha Laga,



Bheerr Mein Ik Ajnabi Ka Samaana Acha Laga,
sab sey chup kar wo kisi ka dekhna acha laga,
surmai aankhon k neechey phool sey khilney lagey,
kehtey kehtey kuch kisi ka sochna acha laga,
baat to kuch bhi nahi thi lekin us ka ek dam,
hath ko honton pey rakh kar rokna acha laga,
chaaye main chini milana us ghari bhaya bahut,
zer-e lab vo muskurata shukriya acha laga,
dil main kitney Ehad bandhey tha bhoolaney k usey,
wo mila to sab iraadey torna acha laga,
be_irada lams ki Wo sansani pyari lagi,
kam tawajjo aankh ka wo dekhna acha laga,
neem shab ki Khamoshi main bheegti sarkon pey,
kal teri yaadon k jalo main ghoomna acha laga,
us udu-e-jan ko 'Amjad' main bura kaise kahoon,
jab bhi aya saamney wo Be_vafa acha laga !
Poet: Amjad Islam Amjad

1 comment: