Click Here

Tuesday, October 30, 2012

GARMI-E-HASRAT-E-NAKAAM SAY JAL JAATEY HAIN,
















GARMI-E-HASRAT-E-NAKAAM SAY JAL JAATEY HAIN,
Hum Charaaghon Ki Tarha Shaam Say Jal Jaatey Hain,
Bach Nikaltey Hain Agar Aatish-e-Sayyad Say Hum,
Sholaa-e-Aatish-e-Gulfaam Say Jal Jaatey Hain,
Khud_Numaai To Nahi Shewa-e-Arbaab-e-Wafa,
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Say Jal Jaatey Hain,
Shamma Jis Aag Mein Jalti Hai Numaish Kay Liye,
Hum Usi Aag Mein Gum_Naam Say Jal Jaatey Hain,
Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Meray Naam Kay Saath,
Jaaney Kiyon Log Meray Naam Say Jal Jaatey Hain,
Rabt-e-Baaham Pay Humein Kiya Na Kahein Gay Dushman,
Aashnaa Jab Teray Paighaam Say Jal Jaatey Hain,
Poet: Qateel Shifaai
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment