Click Here

Tuesday, October 30, 2012

Gaye Dinon Ka Suraag Lay Kar Kahan Say Aaya, Kidhar Gaya Wo ?

Gaye Dinon Ka Suraag Lay Kar Kahan Say Aaya, Kidhar Gaya Wo ?
Ajeeb Maanoos Ajnabi Tha Mujhe To Hairan Kar Gaya Wo,
Khushi Ki Rut Ho K Gham Ka Mousum, Nazar Usay Dhoondhti hai har dam
Wo Boo-e-Gul tha k naghma-e-jaan, mere to dil mein utar gaya Wo
Kuch Ab Sambhalnay Lagi Hai Jaan Bhi, Badal Chala Rang-e-Aasman Bhi
Jo Raat Bhaari Thi Tall Gai Hai, Jo Din Karra Tha Guzar Gaya Wo
Shikasta_Paa Raah Mein Khara Hoon,
Gaye Dinon Ko Pukarta Hoon
Jo Qafila Mera Hamsafar Tha,
Misl-e-Gard-e-Safar Gaya Wo
Bas Aik Manzil Hai Bas Hawas Ki Hazar Rastay Hain Ahl-e-Dil K
Yehi To Hai Farq Mujh Mein Us Mein, Guzar gaya Main Thehr Gaya Wo
Wo Jis K Shanay Pay Hath Rakh K Safar Kia Tu Nay Manzilon Ka
Teri Gali Se Najanay Kiyun Aaj Sar Jhukaye Guzar Gaya Wo
Wo Hijr Ki Raat Ka Sitara Wo Hum Nafas Hum Sukhan Hamara
Sada Rahay Naam Us Ka Piyara Suna Hai Kal Raat Mar Gaya Wo
Na ab Wo Yaadon Ka Charhta Dariya Na Fusaton Ki Udaas Barkha
Yunhi Zara Si Kasak Hai Dil Mein Jo Zakhm Gehra Tha Bhar Gaya Wo
Wo Raat Ka Be_Nawa Musafir Wo Tera Shayir Wo Tera NASIR
Teri Gali Tak To Hum Nay Dekha Phir Najanay Kidhar Gaya Wo

Poet : NASIR KAZMI
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment