Click Here

Tuesday, October 30, 2012

GHAM-E-AASHIQUI SEY KEH DO RAAH-E-AAM TAK NA POHANCHEY

GHAM-E-AASHIQUI SEY KEH DO RAAH-E-AAM TAK NA POHANCHEY
MUJHEY KHOUF HAI YE TOHMAT MERE NAAM TAK NA POHANCHEY,
MAIN NAZAR SEY PEE RAHA THA TO YE DIL NE BADUAA DI
TERA HAATH ZINDAGI BHAR KISI JAAM TAK NA POHANCHEY
NAE SUBAH PEY NAZAR HAI MAGAR AAH YE BHI DARR HAI
YE SEHAR BHI RAFTA RAFTA KAHEEN SHAAM TAK NA POHANCHEY,
UNHEIN MERE DIL KI KHABREIN MERE DIL SEY MIL RAHI HAIN
MAIN JO UN SEY ROOTH JAOON TO PEYAAM TAK NA POHANCHEY
YE ADAA-E-BE NEYAAZI TUJHEY BEWAFA MUBARIK,
MAGAR AISI BHI BERUKHI KEYA K SALAAM TAK NA POHANCHEY,
JO NAQAAB RUKH UTHAA DI TO YEH QAID BHI LAGA DI,
UTHHEY HAR NIGAAH LEKIN KOI BAAMTAK NA POHANCHEY,
WOHI IK HASEEN NAGHMA HAI SHAKEEL JAAN-E-HASTI,
JO ZUBAAN TAK NA POHANCHEY, JO KALAAM TAK NA POHANCHEY ...

POET : SHAKEEL BADEWAANI
CONTRIBUTION: ZAHID SHAH

No comments:

Post a Comment