Click Here

Tuesday, October 30, 2012

Insha jee Utho ! ab kooch karo, is sheher mein jee ka lagana kya.














Insha jee Utho ! ab kooch karo, is sheher mein jee ka lagana kya.
wehshi ko sukoon sey kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya.
Is dil k dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi;
Jis jholi mein sau chhed huey us jholi ko phailana kya.
Shab beeti, chaand bhi Doob gaya, zanjeer pari darwazey mein;
Kiyon der gaye ghar aaye ho, sajni sey karo gey bahana kya.
Us husn k sachey moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein;
Jisey dekh sakein par chhu na sakein Wo doulat kya Wo Khazana kya.
Us ko bhi jala dukhtey huey man, ek shola laal bhabhooka ban;
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon matti mein mil jana kya.
Jab shehar ke log na rasta dain, kiyon ban mein na ja bisram karey;
Deewaano'n ki si na baat karey, to aur karey deewaana kya.
Poet: Ibn-e-Insha
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment