Click Here

Sunday, November 4, 2012

Barson K Baad Dekha Ik Shakhs Dil Ruba Sa,


Barson K Baad Dekha Ik Shakhs Dil Ruba Sa,
Ab Zehen Main Nahi Hai Par NaamTha Bhala Sa,

Abroo Kheenchey Kheenchey Sey Aankhain Jhuki Jhuki Si,
Baatain Ruki Ruki Si Lehja Thaka Thaka Sa,

Alfaaz Thay K Jugnu Awaaz K Safar Mein,
Ban Jaaye Jungalon Mein Jis Tarah Raasta Sa,

Khwaabon Main Khwaab Us K Yaadon Mein Yaad Us Ki,
Neendon Mein Ghul Gaya Ho Jaisey K Rat Jaga Sa,

Pehley Bhi Log Aaye Kitney Hi Zindagi Mein,
Wo Har Tarah Sey Lekin Auron Sey Tha Juda Sa,

Agli Mohabbaton Ney Wo Naa_Muraadiyaan Di,
Taaza Rafaaqaton Sey Dil Tha Dara Dara Sa,

Kuch Ye K Muddaton Sey Hum Bhi Nahi Thay Roye,
Kuch Zehar Main Bujha Tha Ehbaab Ka Dilaasa,

Phir Yoon Hua K Saawan Aankhon Main Aa Basey Thay,
Phir Yoon Hua K Jaisey Dil Bhi Tha Aablaa Sa,

Ab Sach Kehein To Yaaro Hum Ko Khabar Nahin Thi,
Ban Jaye Ga Qayamat Ik Waaqia Zara Sa,

Tewar Thay Be_Rukhi K Andaaz Dosti K,
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa,

Hum Dasht Thay K Dariya Hum Zahar Thay K Amrit,
Naa_Haq Tha Zonum Hum Ko Jab Wo Nahi Tha Pyasa,

Hum Ney Bhi Us Ko Dekhaa Kal Shaam Ittefaaqan,
Apana Bhi Haal Hai Ab Logo Faraz Ka Sa !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment