Click Here

Monday, November 5, 2012

Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhaanay Waala,


Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhaanay Waala,
Wohi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamaanay Waala,

Ab Issay Log Samajhtay Hain Giraftaar Mera,
Sakht Naadim Hai Mujhe Daam Main Laney Waala,

Kya Kahein Kitney Maraasim Thay Humaarey Is Sey,
Wo Jo Ik Shakhs Hai Moonh Pher K Jaanay Waala,

Tere Hotay Huey Aa Jaati Thi Saari Duniya,
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aanay Waala,

Muntazir Kis Ka Hoon Tooti Hui Dehleez Pay Main,
Kon Aaye Ga Yahaan Kon Hai Aanay Waala,

Main Ney Dekha Hai Bahaaron Main Chaman Ko Jaltay,
Hai Koi Khwaab Ki Taabeer Bataanay Waala ?

Kya Khabar Thi Jo Meri Jaan Main Ghula Hai Itana,
Hai Wohi Mujh Ko Sar-E-Daar Bhi Laanay Waala,

Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhtay Ho 'Faraz'
Dost Hota Nahi Har Haath Milaanay Waala ..!

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment