Click Here

Thursday, November 1, 2012

Haath Aankho'n Pay Rakh Lainay Say Khatraa Nahi Jaata


Haath Aankho'n Pay Rakh Lainay Say Khatraa Nahi Jaata
Deewaar Say BohnChaal Ko Roka Nahi Jaata
Daawo'n Ki Taraazu Mein To Azmat Nahi Tulti
Feetay Say To Kirdaar Ko Naapa Nahi Jaata
Farmaan Say Pairho'n Pay Kabhi Phal Nahi Lagtay
Talwaar Say Moasam Koi Badlaa Nahi Jaata
Chor Apnay Gharo'n Mein To Nahi Naqaab Lagatay
Apni Hi Kamaai Ko To Loota Nahi Jaata
Auro'n Kay Khayalaat Ki Laitay Hain Talaashi
Aur Apnay Giraybaan Mein Jhaanka Nahi Jaata
Faulaad Say Faulaad To Katt Sakta Hai Lekin
Qanoon Say Qanoon Ko Badla Nahi Jaata
Zulmat Ko Ghattaa Kehnay Say Baarish Nahi Hoti
Sholo'n Ko Huwaao'n Say To Dhaanpa Nahi Jaata
Tufaan Mein Ho Naao To Kuch Sabar Bhi Aa Jaye
Sahil Pay Kharray Ho Kay To Dooba Nahi Jaata
Dariya Kay Kinaray To Pohanch Jaatay Hain Piyasay
Piyaso'n Kay Gharo'n Tak Koi Dariya Nahi Jaata
Allah Jissay Chahey Ussay Milti Hai "Muzaffar"
Izzat Ko Dukano'n Say Khareeda Nahi Jaata ...
Poet: Muzzafar Waarsi
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment