Click Here

Sunday, November 4, 2012

Hum Par Tumhaari Chaah Ka Ilzaam Hi To Hai,

Hum Par Tumhaari Chaah Ka Ilzaam Hi To Hai,
Dushnaam To Nahin Hai Ye Ikraam Hi To Hai,

Karte Hain Jis Pe Taan, Koi Jurm To Nahi,
Shauq-e-Fuzul-O-Ulfat-e-Nakaam Hi To Hai

Dil Muddai K Harf-e-Malaamat Say Shaad Hai
Ay Jaan-e-Jaan Ye Harf Tera Naam Hi To Hai

Dil Na-Ummeed To Nahi, Na-Kaam Hi To Hai,
Lambi Hai Gham Ki Shaam, Magar Shaam Hi To Hai

Dast-e-Falak Main, Gardish-e-Taqdeer To Nahi,
Dast-e-Falak Main, Gardish-e-Ayyaam Hi To Hai,

Aakhir To Ek Roz Karay Gi Nazar Wafa
Wo Yaar-e-Khush Khasaal Sar-e-Baam Hi To Hai

Bheegi Hai Raat 'Faiz' Gazal Ki Ibteda Karo,
Waqt-e-Sarood Dard Ka Hangaam Hi To Hai...

Poet: Faiz Ahmad Faiz
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment