Click Here

Monday, November 5, 2012

Us Ko Juda Huay Bhi Zamana Bohat Hua,


Us Ko Juda Huay Bhi Zamana Bohat Hua,
Ab Kya Kehein Ye Qissa Purana Bohat Hua,

Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab -e- Firaq,
Ay Marg -e- Nagahaan Tera Aana Bohat Hua,

Hum Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ay Khuda,
Itne Se Waqiye Ka Fasana Bohat Hua,

Ab Hum Hain Aur Saaray Zamaanay Ki Dushmani,
Us se Zara Rabt Barhana Bohat Hua,

Ab Kiyun Na Zindagi Pay Mohabbat Ko Waar Dain,
Is Aashiqi Mein Jaan Se Jana Bohat Hua,

To Dil Ka Dik Se Ta'arruf Na Ho Saka,
Maana K Us Se Milna Milana Bohat Hua,

Kya Kya Na Hum kharab Huay Hain Magar Ye Dil,
Ay Yaad -e- Yaar Tera Thikana Bohat Hua,

Kaha Tha Naasehon Se Mere Moonh Na Aaiyo,
Phir Kya Tha Ek Hu Ka Bahana Bohat Hua,

Lo Phir Tere Labon Pay Usi Be-Wafa Ka Zikr,
"Ahmed Faraz" Tujh Se Kaha Na, Bohat Hua ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment