Click Here

Thursday, December 20, 2012

Akhlaaq Na Bartein Ge Mudaaraa Na Karein Ge,

Akhlaaq Na Bartein Ge Mudaaraa Na Karein Ge,

Ab Hum Kisi Shakhs Ki Parwaah Na Karein Ge,

Kuch Log Kai Lafz Ghalat Bol Rahe Hain,

Islaah Magar Hum Bhi Ab Islaah Na Karein Ge,

Kam_Goi K Ek Wasf-E-Himaaqat Hai Bahar To,

Kam_Goi Ko Apanayein Ge, Chehkaa Na Karein Ge

Ab Sahal Pasandi Ko Banayein Ge Wateera,

Ta-Dair Kisii Baab Mein Socha Na Karein Ge,

Ghussa Bhi Hai Tehzeeb-E-Ta'lluq Ka Talab-gaar,

Hum Chup Hain Bhare Baithe Hain Ghussa Na Karein Ge,

Kal Raat Bohat Ghaur Kiya Hai So Hum Ay "John",

Tay Kar K Uthay Hain K Tamannaa Na Karein Ge ...

Poet : Jaun Elia
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment