Click Here

Thursday, December 27, 2012

Azaab-e-Deed mein Aankhein Lahoo Lahoo kar k,

Azaab-e-Deed mein Aankhein Lahoo Lahoo kar k,

Main Sharamsaar huwa Teri Justujoo kar k,

Khandar ki tarha say Bareeda Badan Saron k siwa,

Mila na kuch bhi Khazano'n ki Aarzoo kar k,

Suna hai sheher mein Zakhmi Dilo'n ka Mela hai,

Chalein gay hum bhi Magar Perahan Raffoo kar k,

Musafat-e-Shab-Hijraan k baad Bhaid Khula,

Hawaa Dukhi hai Charaagho'n ki Aabroo kar k,

Zameen ki Piyaas usi k Lahoo ko chaat gayi,

Wo Khush huwa tha Samandar ko Aab-e-Jo kar k,

Ye kis nay Hum say Lahoo ka Khiraaj phir Maanga,

Abhi to soay thay Maqtal ko Surkharoo kar k,

Jaloos-e-Ahl-e-Wafa kis k darr pay Phohncha hai ?

Nishaan-e-Tauq-Wafa Zeenat-e-Galoo kar k,

Ujaar Roth ko Gulaabi Banaaye rakhti hai,

Hamari aankh teri Deed say Wazzoo kar k,

Koi to Habs-e_Hawa se ye poochta MOHSIN,

Mila hai kya Usey kaliyo'n ko Bey-Namoo kar k !

Poet: Mohsin Naqvi
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment