Click Here

Friday, December 21, 2012

Husn Walay Wafa Nahi Kartay,



Husn Walay Wafa Nahi Kartay,
Ishq Walay Dagha Nahi Kartay,
Zulm Karna To Inki Aadat Hai,
Yeh Kisi Ka Bhala Nahi Kartay,
Jo Nazar Aar Paar Ho Jaye,
Wohi Dil Ka Qaraar Ho Jaye,
Apni Zulfon Ka Daal Do Saya,
Teergi Khush_gawaar Ho Jaye,
Teri Nazron Ko Dekh Paye Agar,
Shaikh Bhi Mai_gusaar Ho Jaye,
Tujh Ko Daikhay Jo Ik Nazar Wo Rang,
Chand Bhi Sharam_Saar Ho Jaye,
Aaeena Apne Saamnay Say Hata,
Ye Na Ho Khud Say Pyar Ho Jaye,
Bhool Ho Jati Hai Yoon Taish Mein Aaya Na Karo,
Faaslay Khatam Karo Baat Barhaya Na Karo,
Ye Nigahein, Ye Ishaaray, Ye Adaayein Tauba,
In Sharabon Ko Sar-e-Aam Lutaya Na Karo,
Shaam Gehri Ho To Kuch Aur Haseen Hoti Hai,
Saya-e-zulf Ko Chehray Say Hataya Na Karo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Na Chey'ro Humein, Hum Sataye Huey Hein,
Bohat Zakhm Seenay Pay Khaaye Huey Hein,
Sitam_Gar Ho Tum, Khoob Pehchantay Hein,
Tumhari Adaaon Ko Hum Jantay Hein,
Dagha_Baaz Ho Tum Sitam Dhaanay Walay,
Faraib-e-Mohabbat Mein Uljhanay Walay,
Ye Rangeen Kahani Tumhi Ko Mubarak,
Tumhari Jawani Tumhi Ko Mubarak,
Humari Taraf Say Nigaahein Hata Lo,
Hamein Zinda Rehnay Do Ay Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Daalo,
Zanjeer Mein Zulfoon Ki Phans Janay Ko Kia Kahiye,
Deewana Mera Dil Hai, Deewanay Ko Kya Kahiye,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Sambhalo Zara Apna Aanchal Gulabi,
Dikhao Na Hans Hans K Aankhein Sharabi,
Sulook Inka Dunya Mein Acha Nahi Hai,
Haseeno'n Pay Hum Ko Bharosa Nahi Hai,
Utha'tay Hein Nazrein To Girti Hai Bijli,
Adaa Jo Bhi Nikli, Qayamat Hi Nikli,
Jahaan Tum Nay Chehray Say Aanchal Hataya,
Waheen Ehl-e-dil Ko Tamasha Banaya,
Khuda K Liye Hum Pay Dorein Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do Ey Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo,
Aawara Hui Jaati Hein Zulfon Ko Sambhalo,
Dil Mera Ulajh Jaye Ga Yeh Jaal Na Dalo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Apni Is Zulf-e-pareshaan Ko Sambhalo Warna,
Aisay Gustaakh Ko Hum Choom Liya Kartay Hain,
Uljha Hai Paaon Yaar Ka Zulf-e-daraaz Mein,
Lo Aap Apne Dam Mein Sayyad Aa Gaya,
Sada_waar Kartay Ho Tum Deg-e-jafa Ka,
Bahatay Ho Tum Khoon Ehl-e-wafa Ka,
Ye Nagan Si Zulfein, Ye Zehreeli Nazrein,
Wo Pani Na Mangay Ye Jiss Ko Bhi Das Lay,
Wo Lut Jaye Jo Tum Say Dil Ko Laga Lay,
Phiray Hasraton Ka Janaza Uthaye,
Hai Maloom Hum Ko Tumhari Haqeeqat,
Mohabbat K Parday Mein Kartay Ho Nafrat,
Kaheen Aur Ja K Adaayein Uchalo,
Humein Zinda Rehnay Do Ey Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Ye Jhooti Numaish Ye Jhooti Banaawat,
Faraib_E_Nazar Hai Nazar Ki Lagawat,
Ye Sumbal Say Gesu, Ye Aariz Gulabi,
Zamanay Milayein Gay Ik Din Kharabi,
Fana Hum Ko Kar Dena Ye Muskarana,
Adaa Kafirana Chalan Zaalimana,
Dikhao Na Ye Ishwa-o-naz Hum Ko,
Sikhao Na Ulfat K Andaaz Hum Ko,
Kisi Aur Per Zulf Ka Jaal Dalo,
Humein Zinda Rehnay Do Ey Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Apni Zulfon Ka Prudah Bana Lijiye,
Husn_e_Masoom Ab Fitna_gar Ho Gaya,
Palkein Gir Jayein Gi, Door Jal Jaye Ga,
Rukh Tumhari Nazar Ka Jidhar Ho Gaya,
Humein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Humein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo ...

Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment