Click Here

Thursday, December 20, 2012

Naya Ik Rishta Paida Kiyun Karein Hum,

Naya Ik Rishta Paida Kiyun Karein Hum,
Bicharna Hai To Jhagra Kiyun Karein Hum,

Khamoshi Say Adaa Ho Rasm-e-Doori,
Koi Hangaama Barpaa Kiyun Karein Hum,

Ya Kafi Hai K Hum Dushman Nahi Hain,
Wafa-daari Ka Daa'wa Kiyun Karein Hum,

Wafa, Ikhlaas, Qurbani, Mohabbat
Ab In Lafzon Ka Peecha Kiyun Karein Hum,

Hum Suna Dain Ismat-e-Maryam Ka Qissa,
Par Ab Is Baab Ko Waa Kiyun Karein Hum,

Zulekha-e-Azeezaan Baat Ye Hai,
Bhala Ghaatay Ka Sauda Kiyun Karein Hum,

Humari Hi Tamanna Kiyun Karo Tum,
Tumhari Hi Tamanna Kiyun Karein Hum,

Kiya Tha Ehd, Jab Lamhon Mein Hum Nay,
To Saari Umar Eefa Kiyun Karein Hum,

Utha Kar Kiyun Na Phainkein Saari Cheezein,
Faqat Kamron Mein Tehlaa Kiyun Karein Hum,

Jo Ik Nasal-e-Faromaya Ko Pohnchay,
Wo Darmaya Ikkat'tha Kiyun Karein Hum,

Nahi Duniya Ko Jab Parwaah Humari,
To Phir Duniya Ki Parwaah Kiyun Karein Hum,

Barhana Hain Sar-e-Bazaar To Kya ?
Bhala Andhon Say Parda Kiyun Karein Hum,

Hain Baashinday Isi Basti K Hum Bhi,
So Khud Par Bhi Bharosa Kiyun Karein Hum,

Pari Rehnay Do Insaano Ki Laashein,
Zameen Ka Bojh Halka Kiyun Karein Hum,

Ye Basti Hai Muslamaano Ki Basti,
Yahan Kaar-e-Maseeha Kiyun Karein Hum ...

Poet : John Elia
Contribute : Zahid Shah

1 comment: