Click Here

Thursday, January 3, 2013

Aur to koi bas na chale ga hijr k dard k maaron ka,

Aur to koi bas na chale ga hijr k dard k maaron ka,

subha ka hona dobhar kar dein rasta rok sitaron ka,

jhuthe sikon mein bhi utha dete hain aksar sacha mal,

shaklein dekh k sauda karna kam hai in banjaron ka,

apni zuban se kuch na kahein ge chup hi rahein ge ashiq log,

tum se to itna ho sakta hai poocho haal bechaaron ka,

ek zara si baat thi jis ka charcha pohncha gali gali,

hum gum-naamon ne phir bhi ehsan na mana yaaron ka,

dard ka khna chikh utho dil ka taqaza waza nibhao,

sab kuchh sehna chup chup rahna kam hai izzatdaron ka ...

Poet : Ibn-e-Insha
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment