Click Here

Wednesday, January 9, 2013

Kamal_E_Zabt Ko Khud Bhi To Aazmaon Gi,

Kamal_E_Zabt Ko Khud Bhi To Aazmaon Gi,
Main apne hath sey us ki dulhan sajaon gi,

Sapurd kar k usay chandni k haathon,
Main apne ghar k andheron ko laut Aaon gi,

Badan K Qarb Ko Wo Bhi Samajh Na Paye Ga
Main Dil Mein Ro'oon Gi, Aankho'n Say Muskuraon Gi,

Wo Kiya Gaya K Rafaqat K Saaray Lutf Gaye
Main Kis Say Rooth Sakon Gi, Kissey Manaaon Gi

Wo Aik Rishta-e-Bey_Naam Bhi Nahi Lekin
Main Ab Bhi Us K Ishaaron Pay Sar Jhukaon Gi

Bichhaa diya tha gulaabo'n k sath apna wajood,
Wo so k uthay to khwaabon ki raakh uthaon gi

Ab Us Ka fun Kisi Aur Say Mansoob Hua
Main Kis Ki Nazm Akelay Mein Gungunaon Gi

Jawaaz dhoond raha tha naee muhabbat ka,
Wo keh raha tha k mani us ko bhool jaon gi..

Sama'aton Mein Ghanay Jangalon Ki Saansein Hain
Main Ab Kabhi Teri Awaaz Sun Na Paoon Gi

Poetess: Parveen Shakir
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment