Click Here

Tuesday, January 8, 2013

Likh Diya Apne Dar Pe Kisi Nay,

Likh Diya Apne Dar Pe Kisi Nay,
Is Jagah Pyaar Karna Manaa Hai

Pyaar Agar Ho Bhi Jaaye Kisi Ko
Iska Izhaar Karna Manaa Hai

Pehle Nazrein Woh Apni Jhukaye
Pehle Nazrein Woh Apni Jhukaye

Wo Sanam Jo Khuda Ban Gaye Hai
Unka Deedaar Karna Manaa Hai

Jaag Utheay To Aahein Bharein Gay
Husn Waalon Ko Ruswaa Karein Gay

So Gaye Hain Jo Furqat K Maare
Un Ko Bedaar Karna Manaa Hai

Hum Nay Ki Arz Ay Banda Parwar
Kiyoon Sitam Dhaa Rahay Ho Ye Hum Per

Baat Sun Ker Hamari Wo Bolay
Hum Say Taqraar Karna Mana Hai

Saamnay Jo Khula Hai Jharoka
Kha Na Jaana Qateel Unka Dhoka

Ab Bhi Apnay Liye Us Gali Mein
Shouq-E-Deedaar Karna Manaa Hai

Likh Diya Apne Dar Pay Kisi Nay
Is Jaga Pyar Karna Mana Hai ...

Poet: Qateel Shafai
Contribute : Zahid Shah

1 comment:

  1. In third couplet it is 'Unki mehfil mai jab koi jaaye pehle nazren wo apni jhukaye

    ReplyDelete