Click Here

Tuesday, January 8, 2013

Sab Ko Dil K Daagh Dikhaye, Aik Tujhi Ko Dikha Na Sakay

Sab Ko Dil K Daagh Dikhaye, Aik Tujhi Ko Dikha Na Sakay

Tera Daaman Door Nahi Tha Haath Hami Philaa Na Sakay

Tu Ay Dost Kahaan Lay Aaya Chehra Ye Khwarsheed Jamaal

Seenay Mein Abaad Karen Gay, Aankhon Mein To Samaa Na Sakay

Na Tujh Say Kuch Hum Ko Nisbat, Na Tujh Ko Kuch Hum Say Kaam

Hum Ko Ye Maloom Tha Lekin Dil Ko Ye Samjha Na Sakay

Ab Tujh Say Kis Moonh Say Keh Dain 7 Samandar Paar Na Jaa

Beech Ki Ik Deewaar Bhi Hum To Phaand Na Paye, Dhaa Na Sakay

Man Paapi Ki Ujhri Khetii Sookhi Sookhi Hi Rahi

Umday Baadal Garjay Baadal Boondain 2 Barsaa Na Sakay.

Poet : Ibn-E-Insha
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment