Click Here

Tuesday, January 8, 2013

Sun to sahi, jahan men hai tera fasana kya?

Sun to sahi, jahan men hai tera fasana kya?
Kehti hai tujh ko khalq-e-Khuda, ghaibana kya?

Zer-e-zamee'n say ata hai go gul_soz rabakuf
Qaaroo'n nay raastey mein lutaya, khazana kya

Chaaron taraf say soorat jaana'n ho jalwa_gar
Dil saaf ho tera, tu hai aaeena khana kya

Siyaad ! aseer daam rag gul hai andleeb
Dikhla raha hai chup k usey daam dawana kya

Talb-o-ilm na paas hai apne, na mulk-o-maal
Hum sey khilaaf ho k karey ga zamana kya

Aati hai kis tarah sey mir qabz rooh ko
Dekhoon to mout dhoond rahi hai bahana kya

Tirchi nigah sey taair dil ho chuka shikaar
Jab teer kajj parrey ga, urrey ga nishana kya

Yoon muddai hasad say na day daad, tu na dey
Aatish ghazal ye tu nay kahi aashiqana kya !

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment