Click Here

Tuesday, February 5, 2013

Dahan Par Hain Unke Gumaan Kaise Kaise,

Dahan Par Hain Unke Gumaan Kaise Kaise,

Kalaam Aate Hain Darmiyaan Kaise Kaise,

Zameen-E-Chaman Gul Khilati Hai Kya Kya,

Badalta Hai Rang Aasmaan Kaise Kaise,

Na Gor-E-Sikandar Hai Na Qabar-E-Dara,

Mite Naamion Ke Nishaan Kaise Kaise,

Bahr-E-Gulistaan Ki Hai Aamad Aamad,

Ke Phirte Hain Khush Baghbaan Kaise Kaise,

Tawajju Ne Teri Hamaare Maseeha,

Tawaana Kijiye Naa-Tawan Kaise Kaise,

Dil-O-Deeda-E-Ahl-E-Aalam Mein Ghar Hai,

Tumhaare Liye Hain Makaan Kaise Kaise,

Gham-O-Ghussa-O-Rang-O-Andoh-O-Hirman,

Hamaare Bhi Hain Mehrbaan Kaise Kaise,

Kare Jis Qadar Shukr-E-Nemat Woh Kam Hai,

Mazaa Lootati Hai Zabaan Kaise Kaise ...

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment