Click Here

Wednesday, February 6, 2013

Jo Log Jaan Boojh Ke Naadaan Ban Gaye,

Jo Log Jaan Boojh Ke Naadaan Ban Gaye,
Mera Khayaal Hai Ki Vo Insaan Ban Gaye,

Ham Hashr Men Gaye Magar Kuchh Na Poochhiye,
Vo Jaan Boojh Kar Vahaan Anjaan Ban Gaye,

Hanste Hain Ham Ko Dekh Ke Arbaab-E-Aagahi,
Ham Aap Ki Mizaaj Ki Pahchaan Ban Gaye,

Majhdhaar Tak Pahunchana To Himmat Ki Baat Thi,
Saahil Ke Aas Paas Hi Toofaan Ban Gaye,

Insaaniyat Ki Baat To Itni Hai Shaikh Ji,
Bad-Qismati Se Aap Bhi Insaan Ban Gaye,

Kaante Bahut The Daaman-E-Fitrat Men Ai"Adam",
Kuchh Phool Aur Kuchh Mere Armaan Ban Gaye ...

Poet : Abdul Hameed Adam
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment