Click Here

Tuesday, February 5, 2013

Ye Aarzoo Thi TUJHE Gul Ke Ru-Ba-Ru Karte,

Ye Aarzoo Thi TUJHE Gul Ke Ru-Ba-Ru Karte,

Hum Aur Bulbul e Betaab Guftagu Karte,

Payaam Bar Na Mayassar Hua To Khoob Hua,

Zabaan e Ghair Se Kyaa Shar Ki Aarzoo Karte,

Meri Tarah Se Maah o Mahar Bhi Hain Aawara,

Kisi Habib Ko Ye Bhi Hain Justajoo Karte,

Jo Dekhte TERI Zanjeer e Zulf kaa Aalam,

Aseer Hone Ke Aazaad Aarzoo Karte,

Na Poochh Aalam e Baragashtaa Taali-e-Aatish,

Barasati Aag Main Jo Baaraan Ki Aarzoo Karte ...

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

1 comment:

  1. Na Poochh Aalam e Baragashtaa Taali-e-Aatish,

    Barasati Aag , Jo Baaraan Ki Aarzoo Karte ...
    post east translation

    ReplyDelete