Click Here

Thursday, August 15, 2013

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah ...



Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah,

Us Ka Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah,

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga,

Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah,

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’oon Ga,

Sar-e-Sham Hi Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,

Mere Hi Dil Ka Makeen Nikla Wo Shakhs “Wasi”

Aur Mein Shehar Bhar Mein Dhoondta Raha Usay Kisi Pagal Ki Tarah ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment