Click Here

Friday, August 16, 2013

Jaan-e- Jaana Tum Kehti TheeN ... Wasi Shah's Beautiful Poem ...



















Jaan - e - Jaana
Tum Kehti TheeN,
Jaanu Aap ! Mere Bachche Ho,
Mujh Ko Aisa Lagta Hai
Tum Orrh Ke Mere Lahoo Ko
Mere Badan Mein Soye Rehay Ho
Meri Rooh Ka Nasha Pee Kar
Mere Andar Khoye Rehay Ho
Mere Jism Ka Hi Hissa Ho

Jaan - e - Jaana
Tum To Kehti TheeN,
Jaanu Aap Mere Bachche Ho
Lekin Aise
Jis Ko Main Aanchal Ke Goshon Mein To
Chhupa Kar Rakh Sakti Hoon
Jis Ko Aankh Ki Putli Mein PinhaaN To Kar Sakti Hoon
Is Bachche Ko
Jaanu ! Aap Ko
Duniya Ki Nazron Mein Lana Mumkin Nahi
Bara Kat'thin Hai
Is Dharti Ki Zalim Rasmein
Sab Jhagre Aur Sabhi Masaa'il
Kab Tasleem Nahi Hain Mujh Ko
Lekin Jaana
Ye Batlao
Kya Koi Maa
Apne Bachche Ko Sardi Mein
Khuli Hawa Mein Veeraan Sarak Par
Raat Ki Bheegi Tanhai Mein
Sun-Sun Karti Hui Hawa Ke JhoNkoN Ke Maqtal Mein
Chor Ke Tanha
Manzil Wali Roshan Raah Par Chal Sakti Hai
Kya Koi Maa
Aisa Bhi Kar Sakti Hai
Lekin Tum Ne Yehi Kiya Hai
Jaan - e - Jaana ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

1 comment: