Click Here

Thursday, August 15, 2013

Kal Hamesha ki Tarah Us Ne Kaha Yeh Phone Par ...



Kal Hamesha ki tarah us nay kaha yeh phone par ...

Main bohot masroof hoon, mujh ko bohot sey kaam hain ...

Is liye tum aao milney, mai to aa sakti nahi ...

Har riwaayat torr kar is baar main ne keh diya ...

Tum jo ho masroof to main bhi bohot masroof hoon ...

Tum agar ghamgeen ho, main bhi bohot ranjoor hoon ...

Tum thakan sey choor to main bhi thakan sey choor hoon ...

Jaan-e-man hai waqt mera bhi bohot hi qeemti ...

Kuch puraanay doston nay milnay aana hai abhi ...

Main bhi ab farigh nahi, mujh ko bhi laakhon kaam hain ...

Warna kehney ko to sab lamhey tumhare naam hain ...

Meri Aankhein bhi bohat bojhal hain, sona hai mujhe ...

Ratjago'n k baad ab neendon main khona hai mujhe ...

Main lahoo apni anaaon ka baha sakta nahi ...

Tum nahi aateen to milney main bhi aa sakta nahi ...

Us ko yeh keh ke WASI main nay receiver rakh diya ...

Aur phir apni anaa k paaoon pay sar rakh diya ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment