Click Here

Wednesday, November 6, 2013

Daman-E-Gul Mein Hi Gulzaar Bikhar Jaatay Hain

 
Daman-E-Gul Mein Hi Gulzaar Bikhar Jaatay Hain

Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaatay Hain

Shama'h Jalti Hai Sada Aik Hi Lamhay Mein Lekin

Jal Ke Parwane Kayi Baar Bikhar Jaatay Hain

Jin Ko Insaa'n Pirota Hai Bohat Ulfat Se

Haaye Wo Gul Sar-E-Bazaar Bikhar Jaatay Hain

Paaoun Uthaty Hain Tere Koochay Ki Janib Jab Bhi

Apni Raho'n Mein Kayi Khaar Bikhar Jaatay Hain

Raat Ke Pichlay Pehar Khoon-E-Tamanna Ki Tarhan

Hum Teri Yaad Mein Aey Yaar Bikhar Jaatay Hain

Ho Ga AndaAz-E- Wafa Un Ka Alag Hi ''ALFAAZ"

Jin Ki Rahon Mein Talab-Gaar Bikhar Jaatay Hain ...

2 comments:

  1. aoa. its urgent.. u shared this ghazal plz can u tell me who is poet of this..???


    ~Ishq Sehra Hy K Darya, Kbhi
    Socha TumNe?
    TujhSe Kya Hy
    Mera Nata, Kbhi
    Socha TumNe?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hum Bi Majood Thy Taqdir Ke Darwaze Pr-Lgo Ne Dolaut Ki Tamanna Ki Hum Ne Apki

      Delete