Click Here

Thursday, November 1, 2012

Itna Maloom Hai .... Khawabon Ka Bharam Toot Gaya.


















Itna Maloom Hai...!!!
Apne Bister Pay Bohat Dair Se Main Neem Daraaz,
Sochtay Thi K Wo Is Waqt Kahaan Ho Ga,
Main Yahaan Par Hon Mager Us Koocha-e-Rang-o-Boo Main,
Roz Ki Tarha Aaj Bhi Aaya Ho Ga,
Or Jab Us Nay Wahan Mujh Ko Na Paaya Ho Ga,
Aap Ko Ilm Hai Wo Aaj Nahi Aayi Hain?
Meri Har Dost Say Us Nay Yehi Poocha Ho Ga,
Kiyun Nahi Aayi Wo Kiya Baat Hui Hai Aakhir,
Khud Say Is Baat Pay So Baar Wo Uljha Ho Ga,
Wo Aaye Gi To Main Us Say Nahi Boloon Ga,
Aap Hi Aap Kayi Baar Wo Rootha Ho Ga,
Wo Nahi Aayi To Bulandi Ka Safar Kitna Kathin Hai,
Seerrhiyan Charhtay Huey Us Nay Ye Socha Ho Ga,
Raah_Dari Main Harray Lawn Mein Phoolon K Qareeb,
Us Nay Har Simt Mujhe Aa K Dhoondha Ho Ga,
Naam Bhulay Say Jo Mera Kaheen Aaya Ho Ga,
Gair Mehsoos Tareeqe Say Wo Chonka Ho Ga,
Aik Jumlay Ko Kayi Baar Sunaya Ho Ga,
Ye Jo Larki Nayi Aayi Hai Kaheen Wo To Nahi,
Us Nay Her Chehra Yahi Soch Ke Dekha Ho Ga,
Jaan-e-Mehfil Hai Mager Aaj Faqat Mere Baghair,
Haye Kis Darja Wohi Bazm Main Tanhaa Ho Ga,
Kabhi Sannaaton Say Wehshat Jo Hui Ho Gi Usay,
Us Na Be_Sakhta Mujh Ko Pukara Ho Ga,
Chaltay Chaltay Koi Manoos Si Aahat Paa Ker,
Doston Ko Bhi Kisi Uzr Say Roka Ho Ga,
Yaad Kar K Mujhe Namm Ho Gayi Hon Gi Palkein,
Aankh Main Parh Gaya Ye Kuch Keh Kar Taala Ho Ga,
Or Ghabra K Kitaabon Main Jo Li Ho Gi Panah,
Har Satr Main Mera Chehra Ubhar Aaya Ho Ga,
Jab Mili Ho Gi Usay Mere Alalat Ki Khabar,
Us Nay Aahista Say Deewaar Ko Thaama Ho Ga,
Soch Kar Ye Ke Behal Jaye Pareshaan-e-Dill,
Yoonhi Be_Waja Kisi Shakhs Ko Roka Ho Ga,
Itefaaqan Mujhe Us Shaam Mere Dost Mili,
Main Nay Poocha Suno Aayi Thi Wo Kaisi Thi ?
Mujh Ko Poocha Tha Mujhe Dhoonda Tha Chaaron Janib,
Us Nay Aik Lamhay Ko Dekha Mujhe Or Phir Hans Di,
Us Hansi Main Wo Talkhi Thi K Us Say Aagay,
Kia Kaha Us Nay Mujhe Yaad Nahi Lekin,
Itna Maloom Hai !!
Khawabon Ka Bharam Toot Gaya....!

This Poem Is From "KHUSHBOO" The Book Of "Parveen Shakir"
Contribute : Zahid Shah

6 comments: