Click Here

Thursday, November 1, 2012

Tumhein Dil_Lagi Bhool Jani Paray Gi,














Tumhein Dil_Lagi Bhool Jani Paray Gi,
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Dekho,
Tarapnay Pay Mere Na Phir Tum Hanso Gay,
Kabhi Dil Kisi Say Laga Kar To Dekho,
Honton K Paas Aaye Hansi Kya Majaal Hai,
Dil Ka Muamla Hai Koi Dil_Lagi Nahi,
Zakhm Pay Zakhm Kha K Jee,
Apne Lahu K Ghoont Pee K Jee,
Aah Na Kar Labon Ko See,
Ishq Hai Dil_Lagi Nahi,
Dil Laga Ker Pata Chalay Ga Tumhein,
Aashiqi Dil_Lagi Nahi Hoti,
Kuch Khail Nahi Hai Ishq Ki Laag,
Paani Na Samajh Ye Aag Hai Aag,
Khoon Rulaaye Gi Ye Lagi Dil Ki,
Khail Samjho Na Dil_Lagi Dil Ki,
Ye Ishq Nahi Aasaan Bus Itna Samajh Lijiye,
Ik Aag Ka Dariya Hai Aur Doob K Jana Hai,
Tumhein Dil_Lagi Bhool Jani Paray Gi,
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Dekho,
Wafaaon Ki Hum Say Tawaqqo Nahi Hai,
Magar Aik Baar Aazma Kar To Dekho,
Zamaanay Ko Apna Bana Kar To Dekha,
Humein Bhi Tum Apna Bana Kar To Dekho,
Khuda K Liye Chor Do Ab Ye Parda,
Rukh Say Naqaab Utha Kar Dekho,
Bari Dair Ho Gai Maahol Ko Tilaawat_e_Quran Kiye Huey,
Khuda K Liye Chor Do ....
Hum Na Samjhay Teri Nazron Ka Taqaaza Kya Hai,
Kabhi Parda, Kabhi Jalwa, Ye Tamaasha Kya Hai,
Khuda K Liye Chor Do ....
Jaan_e_Jaan Hum Say Yeh Uljhan Nahi Dekhi Jati,
Khuda K Liye Chor Do Ab Yeh Parda,
K Hain Aaj Hum Tum Nahi Ghair Koi,
Shab_e_Wasl Bhi Hai, Hijaab Is_Qadar Kiyun ?
Zara Rukh Say Aanchal Utha Kar To Dekho,
Jafaayein Bohat Kee'n, Bohat Zulm Dhaaye,
Kabhi Ik Nigaah_e_Karam Is Taraf Bhi,
Hamesha Huay Dekh Kar Mujh Ko Barham,
Kisi Din Zara Muskura Kar To Dekho,
Tumhein Dil_Lagi Bhool Jani Paray Gi,
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Dekho,
Jo Ulfat Mein Har Ik Sitam Hai Gawara,
Ye Sab Kuch Hai Paas_e_Wafa Tum Say Warna,
Sataatay Ho Din Raat Jis Tarha Mujh Ko,
Kisi Ghair Ko Yoon Sataa Kar To Dekho,
Agarchay Kisi Baat Par Wo Khafa Hain,
To Acha Ye Hi Hai Tum Apni Si Kar Lo,
Wo Maanein Na Maanein, Ye Marzi Hai Unki,
Magar Un Ko Purnam Manaa Kar To Dekho,
Tumhein Dil_Lagi Bhool Jani Paray Gi,
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Dekho,
Tarapnay Pay Mere Na Phir Tum Hanso Gay,
Kabhi Dil Kisi Say Laga Kar To Dekho .....

Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

1 comment: