Click Here

Monday, November 5, 2012

Sab Log Liye Sang-E-Malamat Nikal Aaye,













Sab Log Liye Sang-E-Malamat Nikal Aaye,
kis shahar main ham ahal-e-muhabbat nikal aaye,

ab dil ki tamanna hai to ay kash yahi ho,
Aansu ki jagah aankh say hasrat nikal aaye,

har ghar ka diya gul na karo tum k na-janay,
kis baam say khursheed-e-qayamat nikal aaye,

jo darpa-e-pindaar hain un qatal-gaahon say,
jaan de k bhi samjho k salamat nikal aaye,

ay ham-nafso kuch to kaho ahad-e-sitam ki,
ik harf say mumkin hai hikayat nikal aaye,

yaro mujhe maslub karo tum k mere baad
shayad k tumhara qad-o-qamat nikal aaye ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment