Click Here

Monday, November 5, 2012

sakoot-e-sham-e-Khizan hai qareeb aa jao,



















sakoot-e-sham-e-Khizan hai qareeb aa jao,
bara udaas samaan hai qareeb aa jao,

na tum ko Khud pay bharosa na hum ko zom-e-wafa,
na aitabar-e-jahan hai qareeb aa jao,

Raah-e-talab mein kisi ko dhiyaan nahi,
Hujoom-e-ham-safraan hai qareeb aa jao,

jo dasht-e-ishq main bichrein wo umar bhar na milay,
yahan yahan dhuaan hi dhuan hai qareeb a jao

ye andhiyaan hain to shahar-e-wafa ki Khair nahi,
zamana khak-fashaan hai qareeb aa jao,

faqeeh-e-shahar ki majlis nahi k door raho,
ye bazm-e-pir-e-magan hai qareeb aa jao,

'Faraz' door k sooraj Gharoob samjhe gaye
ye daur-e-kamnazara hai qareeb aa jao ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment