Click Here

Sunday, February 17, 2013

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Mila Na Mujh Sa Jo Ehl -e- Wafa To Kya Ho Ga,
Taras K Rah Gaya Shauq-e-Jafa To Kya Ho Ga,
Huzoor Ko Faqt Apne Shabaab Par Hai Ghuroor,
Agar Shabaab De Gaya Dagha To Kya Ho Ga,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Kya Yehi Rasm-e-Wafa Haim Kya Yehi Khuloos ?

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Tum Chhup Nahi Sakte, Kaheen Tum Ja Nahi Sakte,
Tum Mere Takhaiyul Mein Ho, Tum Meri Nazar Mein,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Daaman Churra K Aap Ne Jaana Hi Tha Agar,
Nazrein Utha K Pyar Se Dekha Tha Kis Liye ?
Thehro Zara K Main Tumhein Jee Bhar K Dekh Loon,
Aisa Na Hi Ke Gir Parre Deewaar Khwaab Ki,

Kya Khushaamad Ho Rahi Thi Dil K Lene Ke Liye,
Kaise Nazrein Phair Lee'n Matlab Nikal Jaane Ke Baad,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Zara Apni Utthti Jawani Ka Sadqa,
Idhar Bhi Nigaah_e_Karam Chaltay Chaltay,

Abroo Na Sanwaara Karo, Katt Jaye Gi Ungli,
Naadaan ! Kabhi Talwaar Se Khaila Nahi Karte,

Pyar Hota Hai To Ik Dil Mein Jalan Rehti Hai,
Khaar Chubh Jaane Se Jese K Chubhan Rehti Hai,
Faasla Ishq Ki Manzil Ka Hai Do Chaar Qadam,
Saal-ha Saal Magar Iski Thakan Rehti Hai,

Meri Jaan Idhar Bhi To Aik Nigaah-e-Naaz Ho,
Husn Kare Taraqqiyaan Umar Teri Daraaz Ho,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Chalay Aaye Thay Aaj Us Ki Gali Say,
Yehi Soch Kar Wahaan Na Jayein Gay Lekin,

Jo Peechay Say Us Be_wafa Nay Pukara,
Wahee'n Ruk Gaye Bas Qadam Chaltay Chaltay,

Likha Khat Usi Ko Mukhaatab Koi Tha,
Magar Baar-ha Aisa Aalam Bhi Guzra,
Khayaal Aa Gaya Us Gharri Jab Tumhara,
Waheen Ruk Gaya Bas Qalam Chaltay Chalay,

Na Taana_Zani Kar Meri May_Kashi Par
Zara Pooch Apni Nasheeli Nazar Say,
Khata_Gar Nahi Teri Nazaro'n Ki Zalim
To Kiyon Larkharraye Qadam Chaltay Chaltay,

Raqeebo'n Say Milna, Humein Bhool Jana,
Kahaan Ka Ye Insaaf Hai O Sitam_Gar,
Karo Yaad Wo Din K Hum Say Wafa Ki,
Uthaai Thi Tu Nay Qasam Chaltay Chaltay ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Wednesday, February 6, 2013

Aap Agar Ham Ko Mil Gaye Hote,,

Aap Agar Ham Ko Mil Gaye Hote,,
Baagh Men Phool Khil Gaye Hote,,

Aap Ne Yoon Hi Ghoor Kar Dekhaa,,
Honth To Yoon Bhi Sil Gaye Hote,,

Kaash Ham Aap Is Tarah Milte,,
Jaise Do Vaqt Mil Gaye Hote,,

Ham Ko Ahl-E-Khirad Mile Hi Nahi,,
Varnaa Kuchh Munfail Gaye Hote,,

Us Ki Aankhen Hi Kaj-Nazar Thin "Adam"
Dil Ke Parde To Hil Gaye Hote ...

Poet : Abdul Hameed Adam
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Ab Do Aalam Se Sadaa-E-Saaz Aati Hai Mujhe,

Ab Do Aalam Se Sadaa-E-Saaz Aati Hai Mujhe,
Dil Ki Aahat Se Teri Aavaaz Aati Hai Mujhe,

Yaa Samaat Ka Bharam Hai Yaa Kisi Naghmen Ki Goonj,
Ek Pahchaani Hui Aavaaz Aati Hai Mujhe,

Kis Ne Khola Hai Havaa Men Gesuon Ko Naaz Se,
Narm-Rau Barsaat Ki Aavaaz Aati Hai Mujhe,

Us Ki Naazuk Ungliyon Ko Dekh Kar Aksar"Adam",
Ek Halki Si Sadaa-E-Saaz Aati Hai Mujhe ...

Poet : Abdul Hameed Adam
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Ay May-Gusaaro Savere Savere,

Ay May-Gusaaro Savere Savere,
Kharaabat Ke Gird Phere Pe Phere,

Bari Roshni Bakhshte Hain Nazar Ko,
Tere Gesuon Ke Muqaddas Andhere,

Kisi Din Idhar Se Guzar Kar To Dekho,
Badi Raunaqen Hain Faqeeron Ke Dere,

Gham-E-Zindagi Ko "Adam" Saath Lekar
Kahaan Jaa Rahe Ho Savere Savere ...

Poet : Abdul Hameed Adam
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Apni Zulfon Ko Sitaaron Ke Havaale Kar Do,

Apni Zulfon Ko Sitaaron Ke Havaale Kar Do,
Shahr-E-Gul Baada-Gusaaron Ke Havaale Kar Do,

Talkhi-E-Hosh Ho Yaa Masti-E-Idraak-E-Junoon,
Aaj Har Cheez Bahaaron Ke Havaale Kar Do,

Mujh Ko Yaaro Na Karo Rahnumaaon Ke Supurd,
Mujh Ko Tum Rahguzaaron Ke Havaale Kar Do,

Jaagne Vaalon Ka Toofaan Se Kar Do Rishta,
Sone Vaalon Ko Kinaaron Ke Havaale Kar Do,

Meri Taubaa Kaa Bajaa Hai Yahi Ejaaz "Adam"

Mera Saaghar Mere Yaaron Ke Havaale Kar Do ...

Poet : Abdul Hameed Adam
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Jab Gardishon Men Jaam Thay,

Jab Gardishon Men Jaam Thay,
Kitne Haseen Ayyaam Thay,

Ham Hi Na The Rusvaa Faqat
Vo Aap Bhi Badnaam Thay,

Kahte Hain Kuchh Arsaa Huaa
Kaabe Men Bhi Asnaam Thay,

Anjaam Ki Kyaa Sochte
Naa-Vaaqif-E-Anjaam Thay,

Ahad-E-Javaani Men "Adam"
Sab Log Gul-Andaam Thay ...

Poet : Abdul Hameed Adam
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Jo Log Jaan Boojh Ke Naadaan Ban Gaye,

Jo Log Jaan Boojh Ke Naadaan Ban Gaye,
Mera Khayaal Hai Ki Vo Insaan Ban Gaye,

Ham Hashr Men Gaye Magar Kuchh Na Poochhiye,
Vo Jaan Boojh Kar Vahaan Anjaan Ban Gaye,

Hanste Hain Ham Ko Dekh Ke Arbaab-E-Aagahi,
Ham Aap Ki Mizaaj Ki Pahchaan Ban Gaye,

Majhdhaar Tak Pahunchana To Himmat Ki Baat Thi,
Saahil Ke Aas Paas Hi Toofaan Ban Gaye,

Insaaniyat Ki Baat To Itni Hai Shaikh Ji,
Bad-Qismati Se Aap Bhi Insaan Ban Gaye,

Kaante Bahut The Daaman-E-Fitrat Men Ai"Adam",
Kuchh Phool Aur Kuchh Mere Armaan Ban Gaye ...

Poet : Abdul Hameed Adam
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Phoolon Ki Aarzoo Mein Bare Zakhm Khaaye Hain,

Phoolon Ki Aarzoo Mein Bare Zakhm Khaaye Hain,

Lekin Chaman Ke Khaar Bhi Ab Tak Paraaye Hain,

Us Par Haraam Hai Gham-E-Dauraan Ki Talkhiyaan,

Jis Ke Nasib Men Teri Zulfon Ke Saaye Hain,

Mahshar Men Le Gai Thi Tabiyat Ki Saadagi,

Lekin Bade Khuloos Se Ham Laut Aaye Hain,

Aayaa Hoon Yaad Baad-E-Fanaa Un Ko Bhi 'Adam',

Kyaa Jald Mere Seekh Pe Imaan Laaye Hain ...

Poet : Abdul Hameed Adam
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Sooraj Ki Har Kiran Teri Soorat Pe Waar Doon,

Sooraj Ki Har Kiran Teri Soorat Pe Waar Doon,

Dozakh Ko Chaahta Hoon Ki Jannat Pe Waar Doon,

Itni Si Hai Tasalli Ki Ho Ga Muqaabla,

Dil Kya Hai Jaan Bhi Apni Qayaamat Pe Waar Doon,

Ik Khvaab Tha Jo Dekh Liyaa Neend Mein Kabhi,

Ik Neend Hai Jo Teri Muhabbat Pe Vaar Doon,

"Adam" Haseen Neend Mile Gi Kahaan Mujhe,

Phir Kyoon Na Zindagaani Ko Turbat Pe Waar Doon ...

Poet : Abdul Hameed Adam
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Suboo Ko Daur Men Laao Bahaar Ke Din Hain,

Suboo Ko Daur Men Laao Bahaar Ke Din Hain,

Hamen Sharaab Pilaao Bahaar Ke Din Hain,

Ye Kaam Aaeen-E-Ibaadat Hai Mausam-E-Gul Men,

Hamen Gale Se Lagao Bahaar Ke Din Hain,

Thahar Thahar Ke Na Barso Umad Pado Yak-Dam,

Sitamgari Se Ghataaon Bahaar Ke Din Hain,

Shikasta-E-Taubaa Ka Kab Aisa Aaye Gaa Mausam.

"Adam" Ko Gher Ke Laao Bahaar Ke Din Hain ...

Poet : Abdul Hameed Adam
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Saaghar Se Lab Laga Ke Bohat Khush Hai Zindagi,

Saaghar Se Lab Laga Ke Bohat Khush Hai Zindagi,

Sahan-E-Chaman Men Aa Ke Bohat Khush Hai Zindagi,

Aa Jaao Aur Bhi Zaraa Nazdeek Jaan-E-Man,

Tum Ko Qareeb Paake Bohat Khush Hai Zindagi,

Hotaa Koi Mahal Bhi To Kya Poochhte Ho Phir,

Be-Wajah Muskura Ke Bohat Khush Hai Zindagi,

Saahil Pe Bhi To Itni Shagufata Ravish Na Thi,

Toofaan Ke Beech Aa Ke Bohat Khush Hai Zindagi,

Veeraan Dil Hai Aur "Adam" Zindagi Ka Raqs,

Jangal Mein Ghar Bana Ke Bohat Khush Hai Zindagi ...

Poet : Abdul Hameed Adam
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Phoolon Ki Tahniyon Pe Nasheman Banaayiye,

Phoolon Ki Tahniyon Pe Nasheman Banaayiye,

Bijli Gire To Jashn-E-Charaaghaan Manaayiye,

Kaliyon Ke Ang Ang Men Meethaa Saa Dard Hai,

Beemaar Nikhaton Ko Zaraa Gudgudaayiye,

Kab Se Sulag Rahi Hai Javaani Ki Garm Raat,

Zulfen Bikher Kar Mere Pahloo Men Aayiye,

Bahki Hui Siyaah Ghataaon Ke Saath Saath,

Jee Chaahtaa Hai Shaam-E-Abad Tak To Jaayiye,

Sun Kar Jise Havaas Men Thandhak Si Aa Base,

Aisi Koi Udaas Kahaani Sunaayiye,

Raste Pe Har Qadam Pe Kharaabaat Hain"Adam",

Ye Haal Ho To Kis Tarah Daaman Bachaayiye ...

Poet : Abdul Hameed Adam
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Tuesday, February 5, 2013

Yousuf Nahin Jo Hath Lage Chand Diram Se,

Yousuf Nahin Jo Hath Lage Chand Diram Se,
Qeemat Jo Do Aalam Ki Hai Begaana Hai Us Ka,

Aawaargi-E-Nikhat-E-Gul Hai Ye Ishaara,
Jaame Se Jo Baahar Hai Wo Deewaana Hai Us Ka,

Shukraan-E-Saaqi Azal Karta Hai "Aatish"
Labrez Mai Shauq Se Paimaana Hai Us Ka ...

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Dekha Yaan Aaeena-E-Fikr Ne Jab Safa-E-Aab Dar Sukhan Ka,

Dekha Yaan Aaeena-E-Fikr Ne Jab Safa-E-Aab Dar Sukhan Ka,

Dahan Ko Jauhar Khula Zabaan Ka, Zabaan Ko Aqda Khula Dahan Ka,

Nazar Jo Aa Jaaye Baid Majnu To To Roun Majnu Ki Yaad Mein,

Jo Dekhoon Yatsha To Sar Ko Phodoon Khayaal Bant Jaaye Koh-Kan Ka,

Barahna Aaya Tha Yaan Adam Se, Barahna Yaan Se Chhala Adam Ko,

Na Boye Kaafur Hain Naa Soonghi, Na Daagh Mujhko Laga Kafan Ka,

Nigaah Awwal Mein Chashm Se Gon, Yeh Rang Mehfil Kare Deegar Gon,

Woh Haal Howe Jo Waqt-E-Aakhir, Sharab-Khoron Ki Anjuman Ka,

Jo Haal Parwaan-E-Ishq Mein Hai, Wahi Mohabbat Mein Aalam-E-Dil,

Woh Samaa Fanoos Ka Hai Kashta, Yeh Sukhta Noor Pairahan Ka,

Na Yeh Nazaakat Pari Mein Hogi, Na Hooren Yeh Nazaakat "Aatish",

Jo Haar Phoolon Ka Is Ne Pahna, To Bojh UthaayaHazaar Man Ka ...

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Dost Ho Jab Dushman-E-Jaan To Kya Maaloom Ho

Dost Ho Jab Dushman-E-Jaan To Kya Maaloom Ho

Aadmi Ko Kis Tarah Apni Qazaa Maaloom Ho

Aashiqon Se Poochhiye Khoobi Lab-E-Jaan-KhashKi

Jauhri Ko Qadr-E-Lal-E-Be-Bahaa Maaloom Ho

Daam Main Laaya Hai Aatish Sabza-E-Khat-E-Butaan

Sach Hai Kya Eisa Ko Qismat Ka Likha Maaloom Ho ..

Poet : Haider Ali Atish

Ay Sanam Jis Ne Tujhe Chaand Si Soorat Di Hai,

Ay Sanam Jis Ne Tujhe Chaand Si Soorat Di Hai,

Usi Allah Ne Mujh Ko Bhi Mohabbat Di Hai,

Tegh Be-Aab Hai, Baazu-E-Qaatil Kamzor,

Kuch Giraan Jaani Hai, Maut Befursat Di Hai,

Koi Akseer Ghazi Dil Nahin Rakhti Aisa,

Khaaksari Nahin Di Hai Daulat Di Hai,

Furqat-E-Yaar Mein Ro Ro Ke Basar Karta Hoon,

Zindagi Mujhe Kya Di Hai Museebat Di Hai,

Yaad-E-Mehboob Faramosh Na Huye Ai Dil,

Husn-E-Neeyat Ne Mujhe Ishq Si Ne'mat Di Hai,

Gosh Paida Kiye Sun Ne Ko Tera Zikr-E-Jamaal,

Dekh Ne Ko Tere Aankhon Mein Basaarat Di Hai,

Lutf-E-Dilbastagi-E-Aashiq-E-Shaida Na Pooch.

Do Jahaan Se Is Asseeri Ne Faraaghat Di Hai,

Kamar-E-Yaar Ke Mazmoon Ko Baandh Aaye ''Aatish'',

Zulf Khubaan Si Mere Gham Ko Tabiyat Di Hai ...

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Hazrat-e-Dil Jo Kuchh Irshaad Kiya Karte Hain,

Hazrat-e-Dil Jo Kuchh Irshaad Kiya Karte Hain,

Dekhiye Kaat Chuke Kab Zeest Ke Apne Yeh Pahaar,

Dard Sar Soorat Farhaad Kiya Karte Hai,

Bulbulon Se Jo Gale Kholen Hai Laakar Tahe-Daam,

Chah-Chahe Baagh Mein Sayaad Kiya Karte Hain,

Gham Shab-E-Hijr Mein Apne Nahin Dar-Pesh Aata,

Zikr Se Wasl Ke Dil Shaad Kiya Karte Hain,

Zikr Ashq Se Nahin Ek Dam In Ko Fursat,

Naaz-O-Andaaz Naye Eijaad Kiya Karte Hain,

Aatishein Naalon Ki Allah Re Garmi Shabe Hijr,

Narm Tar Mom Se Faulad Kiya Karte Hain,

Sunte Hain Shauq-E-Shahaadat Ka Jo Mere Shah-Rah,

Yaad 'Aatish' Mujhe Jallad Kiya Karte Hain ...

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Husn-E-Pari Ik Jalwa-e-Mastaana Hai Us Ka,

Husn-E-Pari Ik Jalwa-e-Mastaana Hai Us Ka,

Hushyaar Wahi Hai Ke Jo Deewaana Hai Us Ka,

Gul Aate Hain Hastee Mein Adam Se Hama-Tan-Gosh,

Bulbul Ka Ye Naala Nahin Afsaana Hai Us Ka,

Jo Chasm Ke Hairaan Hui Aaina Hai Us Ki,

Jo Seena Ke Sad Chaak Hua Shaana Hai Us Ka,

Wo Yaad Hai Uski Ke Bhula De Do Jahaan Ko,

Haalat Ko Kare Ghair Wo Yaaraana Hai Us Ka,

Yousuf Nahin Jo Hath Lage Chand Diram Se,

Qeemat Jo Do Aalam Ki Hai Begaana Hai Us Ka,

Aawaargi-E-Nikhat-E-Gul Hai Ye Ishaara,

Jaame Se Jo Baahar Hai Wo Deewaana Hai Us Ka,

Shukraan-E-Saaqi Azal Karta Hai 'Aatish'

Labrez Mai Shauq Se Paimaana Hai Us Ka ...

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Shab_e_Wasal Thi, Chandni Ka Samaa'n Tha,

Shab_e_Wasal Thi, Chandni Ka Samaa'n Tha,

Baghal Mein Sanam Tha, Khuda Meherbaa'n Tha,

Mubaarak Shab_e_Qadar Say Bhi Wo Shab Thi,

Saher Tak May_o_Mushtari Ka Qaraa'n Tha,

Wo Shab Thi K Thi Roshni Jis Mein Din Ki,

Zamee'n Par Say Ik Noor Taa_Aasmaa'n Tha,

Nikaalay Thay Do Chaand Us Nay Muqaabil,

Wo Shab, Subha_e_Jannat Ka Jis Par Gumaa'n Tha,

Aroosi Ki Shab Ki Halaawat Thi Haasil,

Farah_Naak Thi Rooh, Dil Shaadmaa'n Tha,

Mushahid Jamaal_e_Pari Ki Thi Aankhein,

Makaan_e_Wasaal Ek Talismi Makaa'n Tha,

Hazoori Nigaaho'n Ko Deedaar Say Thi,

Khula Tha Wo Parda K Jo Darmiyaa'n Tha,

Haqeeqat Dikhaata Tha Ishq_e_Majaazi,

Nehaa'n Jis Ko Samjhay Huey Thay, Aiyaa'n Tha,

Bayaa'n Khuwaab Ki Tarha Jo Kar Raha Tha,

Ye Qissa Hai Jab Ka, K "Aatish" Jawaa'n Tha ..!

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Adam Se Jaanib-E-Hasti Talaash-E-Yaar Mein Aaye,

Adam Se Jaanib-E-Hasti Talaash-E-Yaar Mein Aaye,

Khuli Aankhein To Dekha, Waadi-E-Pur Khaar Mein Aaye,

Yaqeen Hal Kuchh Na Kuchh Rahmat Mizaaj-E-Yaar Mein Aaye,

Adafi Se Haath Baandhe Hum Tere Darbaar Mein Aaye.

Agar Bakhshe Zahe Rehmat, Na Bakhshe To Shikaait Kya,

Sar-E-Taslim Khum Hal, Jo Mizaaje-Yaar Mein Aaye.

Na Puchho Ahl-E-Mahshar, Hum Se Diwaana Ki Be-Taabi,

Yahaan Majma Suna, Yaan Bhi Talaash-E-Yaar Mein Aaye.

Adam Ke Jaane Waalo, Bazm-E-Jaanaan Tak Agar Pohncho,

Hamen Bhi Yaad Rakhna, Zikar 10 Darbaar Mein Aaye.

Na Maango Bosa, Ay Aatish, Bigaare Munh Woh Baithe Ham,

Qayaamat Hai Agar Ha! Abroo-E-Khamdaar Mein Aaye.

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Dahan Par Hain Unke Gumaan Kaise Kaise,

Dahan Par Hain Unke Gumaan Kaise Kaise,

Kalaam Aate Hain Darmiyaan Kaise Kaise,

Zameen-E-Chaman Gul Khilati Hai Kya Kya,

Badalta Hai Rang Aasmaan Kaise Kaise,

Na Gor-E-Sikandar Hai Na Qabar-E-Dara,

Mite Naamion Ke Nishaan Kaise Kaise,

Bahr-E-Gulistaan Ki Hai Aamad Aamad,

Ke Phirte Hain Khush Baghbaan Kaise Kaise,

Tawajju Ne Teri Hamaare Maseeha,

Tawaana Kijiye Naa-Tawan Kaise Kaise,

Dil-O-Deeda-E-Ahl-E-Aalam Mein Ghar Hai,

Tumhaare Liye Hain Makaan Kaise Kaise,

Gham-O-Ghussa-O-Rang-O-Andoh-O-Hirman,

Hamaare Bhi Hain Mehrbaan Kaise Kaise,

Kare Jis Qadar Shukr-E-Nemat Woh Kam Hai,

Mazaa Lootati Hai Zabaan Kaise Kaise ...

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Taar Taar Pairahan Men Bhar Gai Hai Boo-E-Dost

Taar Taar Pairahan Men Bhar Gai Hai Boo-E-Dost

Misl Tasweer Nahali Men Hoon Ya Pehloo-E-Dost

Hijr Ki Shab Ho Gai Roz-E-Qayamat Se Daraaz

Dosh Se Neeche Nahin Utrey Abhi Gesoo-E-Dost

Daagh-E-Dil Par Khair Guzri To Ghaneemat Jaaniey

Dushman-E-Jaan Hain Jo Aankhen Dekhti Hain Soo-E-Dost

Farsh-E-Gul Bistar Tha Apna, Khaak Par SoteHain Ab

Khisht Zer-E-Sar Nahi Ya Takia Tha Zaanoo-E-Dost

Yaad Kar Ke Apni Barbaadi Ko Ro Dete Hain Ham

Jab Uraati Hai Hawaa-E-Tund Khaak-E-Koo-E-Dost

Is Balaa-E-Jaan Se ''Aatish'' Dekhiey Kiyun-Kar Nibhe

Dil Sawa Sheeshe Se Naazuk,Dil Se Naazuk Khoo-E-Dost ...

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Ye Aarzoo Thi TUJHE Gul Ke Ru-Ba-Ru Karte,

Ye Aarzoo Thi TUJHE Gul Ke Ru-Ba-Ru Karte,

Hum Aur Bulbul e Betaab Guftagu Karte,

Payaam Bar Na Mayassar Hua To Khoob Hua,

Zabaan e Ghair Se Kyaa Shar Ki Aarzoo Karte,

Meri Tarah Se Maah o Mahar Bhi Hain Aawara,

Kisi Habib Ko Ye Bhi Hain Justajoo Karte,

Jo Dekhte TERI Zanjeer e Zulf kaa Aalam,

Aseer Hone Ke Aazaad Aarzoo Karte,

Na Poochh Aalam e Baragashtaa Taali-e-Aatish,

Barasati Aag Main Jo Baaraan Ki Aarzoo Karte ...

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Yaar Ko Main Nay Mujhe Yaar Nay Sonay Na Diya

Yaar Ko Main Nay Mujhe Yaar Nay Sonay Na Diya

Raat_Bhar Taali-e-Bedaar Nay Sonay Na Diya

Ek Shab Bul'Bul-e-Betaab K Jaagay Na Naseeb

Pehlu-e-Gull Mein Kabhi Khaar Nay Sonay Na Diya

Raat_Bhar Ki Dil-e-Betaab Nay Baatein Mujh Say

Mujh Ko Is Ishq K Bemaar Nay Sonay Na Diya

Poet : Haider Ali 'Aatish'
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Sun to sahi, jahan mein hai tera fasana kya ?

Sun to sahi, jahan men hai tera fasana kya?

Kehti hai tujh ko khalq-e-Khuda, ghaibana kya?

Zer-e-zamee'n say ata hai go gul_soz rabakuf

Qaaroo'n nay raastey mein lutaya, khazana kya

Chaaron taraf say soorat jaana'n ho jalwa_gar

Dil saaf ho tera, tu hai aaeena khana kya

Siyaad ! aseer daam rag gul hai andleeb

Dikhla raha hai chup k usey daam dawana kya

Talb-o-ilm na paas hai apne, na mulk-o-maal

Hum sey khilaaf ho k karey ga zamana kya

Aati hai kis tarah sey mir qabz rooh ko

Dekhoon to mout dhoond rahi hai bahana kya

Tirchi nigah sey taair dil ho chuka shikaar

Jab teer kajj parrey ga, urrey ga nishana kya

Yoon muddai hasad say na day daad, tu na dey

Aatish ghazal ye tu nay kahi aashiqana kya !

Poet : Haider Ali 'Atish'
www.zahid-shah.blogspot.com/

Tarrapte Hain Na Rote Hain, Na Hum Fariyaad Karte Hain ...

Tarraptay Hain Na Rotay Hain, Na Hum Fariyaad Kartay Hain

Sanam Ki Yaad Mein Har_Damm Khuda Ko Yaad Kartay Hain

Unheen K Ishq Mein Hum Naala-o-Fariyaad Kartay Hain

Ilaahi ! Dekhiye Kis Din Humein Wo Yaad Kartay Hain

Shab-e-Furqat Mein Kiya Kiya Saanp Lehraatay Hain Seenay Par

Tumhari Kaakul-e-Pechaan Ko Jab Hum Yaad Kartay Hain !

Poet : Haider Ali 'Atish'
www.zahid-shah.blogspot.com/